Sunday 6 May 2012

SHEIKH-UL-ISLAM MUHAMMAD BIN ABDUL WAHHAB BIN SULEMAN TAMIMI (RH)






Bismillahirrahmanirraheem




SHEIKH-UL-ISLAM MUHAMMAD BIN ABDUL WAHHAB BIN SULEMAN TAMIMI (RH)



WILAADAT:


sheikh ul islam muhammad bin abdul wahhab bin suleman tamimi (rh) 1703 CE / 1115 H me ek chhote se shaher uyayna ( jo saudi arab ki daarul khilafa riyadh ke shimal me hai) ke ek bahut bade khaandaanah ilm wa fazal me paida hue,

waalid giraami sheikh abdul wahhab (rh) jaleel ul qadr aalim aur salafi al aqeedah faqeeh they,

uloom e qur'aan, tafseer, hadith, fiqh, aur adab e arabic me mumtaz haisiyat ke maalik aur uyayna ke qaazi they,

usi tarah jadd e mujahid shiekh sulaimaan (rh) bhi ilmi lihaaz se uyayna ke tamaam ulema par fauqiyat rakhte they, haakim e waqt ameer abdullah bin ma'mar ke yahan unki badi qadr thi, apne waqt ke qazi they, aur haakin unke mashwarah par faisla kiya karta tha, aapke fatawa aur faislon ke shohrat dusre shahron tak bhi jaana shuru ho gayi aur talib e ilm door daraaz Se uyayna aane lage...


TAALEEM WA TARBIYAT:



Sheikh muhammad bin abdul wahhab (rh) ek muttaqi aur aalimi khaandaan ke chash o chiraagh they,

lihaaza taqwa aur zihaanat amaanat daari wa fataanat unhen wiraasat me mili thi, ibtedaai taaleem waalid e giraami ke paas li, aur sirf 10 saal ki umar(age) me hi qur'aan paak hifz kar liya,

dauraan e taaleem mutaala me inhemaq aur quwwat e hafiza ka ye aalam tha ke 20 saal ki umar tak sahih bukhari wa muslim aur kutub e sunan ki aksar hadith hifz kar li thi,

tafseer, hadith aur aquaid ki kitaabon me gahri dil'chaspi thi, sheikhul islam imam bin taiymiyyah (rh) aur ibn qayyim (rh) ki kutub ka khusoosi ahtemaam karte they...



SAFAR HAJJ WA TAALEEM:


Hajj e baitullah ka fareeza ada karne ke liye makka mukarrama rawaana ho gaye, wahan se madeena munawwara ka rukh kiya aur aalim e shaher sheikh abdullah bin ibraaheem aal e saif ki musaahabat se istefaadah Kiya, unse sahih bukhari wa muslim, dono ki shaarhen, tirmizi, nisaai, abu dawood , ibn majah, musnad ahmad, musnad imam shafai, aur muwtta imam malik, me ijaazat haasil ki aur azeem muhaddis sheikh muhammad hayat sindhi (rh) se aqeedah e salfiya ki taalimaat haasil ki, unke elaawa sheikh ali aafandi wa deegar salafi ulema e waqt se mustafeed hue, phir basra ki tarah rawaana ho gaye taake wahan ke mashaikh se bhi kasab e faiz kar saken,

lihaaza hadith aur lughat me sheikh muhammad al ajmovi se mustafaiz hue, isi qayaam ke dauraan un aham mubahat par qalam uthaaya aur kai kitaabein likhi, wahan se al zubair, baghdad aur sham ka safar karte hue " al ahsa " pahunche aur wahan ke sheikh abdullah bin abdul lateef shafai se kasab e ilm ke baad najd ke gaon " hurmeela" chale gaye kyonke aapke waalid wahan muntaqal ho chuke they...


NAJD WA HEJAAZ-- DAAWAT SE PAHLE



Wah tamaam deeni, akhlaaqi, mu'aasharti, Ma'aasi, aur siyaasi bimaariyaan 12wi sadi me najd par musallat ho chuki thi jo 1200 saal pahle zamaana e jaahiliyat me paayi jaati thi aur rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) maaboos hue they,

shirk, bidat, wa khuraafaat aur toham parasti ka daur dorah tha, qabaron, darakhton aur chhattaano ke naam jaanwar zibaah kiye jaate, unse muraaden maangi jaatin aur araaf, rammaal, aur kaahin wa jaadugar aalim ul ghaib bana diye gaye they,

log allah wa rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki itaat se door hokar baaghiyaana sargarmiyon me mulawwis ho chuke they, masjiden viraan aur mazaar aabaad they, unpar qeemti kapde aur phoolon ki chaadaren chadhaayi jaati thi, aur turkey ki imaarat ki wajah se raqs , sharab khori aur qabaaili ta'aassub shabaab par they...



AAGHAAZ-E-DAAWAT:


yahi wah haalaat hain jis me kisi mujaddid ki zarurat pesh aati hai,

ek hadith hai

" bila'shubah allah Taala har sadi me ek aise shakhs ko maboos farmaata rahega jo is ummat ke liye uske deen me tajdeedi umoor sar'anjaam dega "

(abu dawood kitabul al malaaham, mustadrak haakim)


lihaaza allah paak ne tajdeed wa islaah e ummat ke liye sheikh muhammad bin abdul wahhab (rh) ko muntakhab farmaya jo shamsheer e azam liye taaghooti taaqaton aur ibleesi saazison ke taaro pod bikherne lage..

Islaah ke kaam me intehaai hikmat e ilmi se kaam liya, kabhi logon ko husn sulook aur dalail wa baraaheen se qail kiya aur kabhi zarurat taaqat e shamsheer se aqeeda e salfiya ki tarah maa'el kiya...


Dawat e tawheed ka aaghaaz hurmeela se kiya, bad'aqeedah log naraaz aur unki jaan ke dushman ho gaye, magar aap ne poore azm wa istqaamat se har dushwaar ghaati ko paar kiya aur dawat jaari rakhi...


1153 hijri me waalid e mohtaram inteqaal farma gaye , aur sheikh apne aabaai watan uyayna chale gaye,

shuru shuru me ameer E shaher usman bin ahmad bin ma'mar ne bada saath diya lekin phir baaz siyaasi wajuhaat ki bina par dushman ho gaya,

wahan se sheikh hejaz chale gaye, ameer e hejaz imam muhabbad bin saud (rh) aur aal e saud ne daawat qubool ki aur bhar'poor taa'awun kiya,

lihaaza aapne hejaz ko dawat ka markaz bana liya, wahin dars wa tadrees aur tasneef wa taaleef shuru kar di, ird gird se taalba husool e ilm ke liye aane lage, is tarah daawat aam ho gayi, kyonke jo taalba aate wah tawheed ke aalambardaar bankar waapas jaate...

Sheikh muhammad bin abdul wahhab (rh) aur imam muhammad bin saud (rh) ka wafaaq daawat e tawheed ki tarweej wa ishaat me bahut mufeed saabit huwa kyonke sheikh shahab e ilm wa hujjat they aur ameer shahab e ilm wa taaqat,

dawat e tawheed ke liye sheikh ko ameer ke yahan markaz mil gaya aur sheikh ki daawat ki barkat se ameer ke paoan (legs) mazboot se mazboot ho gaye,

allah ne apne deen ki Khidmat wa nusrat ka ohda unhin sar'zameen hejaz par mumkin kar diya,

aur aaj bhi aal e saud azeem islami mulk saudi arab par hukmaran hain aur khidmat e deen me tamaam islami mumaalik se zyaada sar'garm hai


WAFAAT:



Sheikh muhammad bin abdul wahhab (rh) abhi 20 saal ki umar ko bhi na pahunche they ke daawat e tawheed ka aaghaaz kar diya, jahan roz ba'roz jaan nisaar saathi badhte gaye, wahin mukhaalifeen me bhi izaafa hota chala gaya, kai shahron se hijrat karni padi magar farogh e dawat me koi kami nahi hone di balke apne daawat ka kaam aur tez kar diya aur tahreek ki shaakhen zazeera e arab ke elawa misr (egypt) aur turkey tak badi munazzam tak phail gayi. Aur aaj bhi tawheed ki daawat jaari hai, aur hazaaron ki tadaad me taalba madeena se tawheed ka dars lekar jaate hain aur tawheed ko aam karte hain,

aap wah khush'naseeb daee aur mujaddid they jinhone apni shab wa roz ki mehnat aur jeddo jehad Ka khush'gawaar nateeja apni zindagi me hi dekh liya..

Aap 70 saal tak tawheed ki dawat dete rahe, shawwal 1206 hijri me ek marz la'haq ho gaya aur dhul-qadah 1206 ke aakhiri din 22 june 1792 ko ye aaftaab e amal nabbe saal se zyaada muddat tak is jahan ki zameen wa was'aton me roshan rahne aur ilm ki paasbaani karne ke baad hamesha ke liye maut ki waadiyon me ghuroob hogaya....


INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAAJIUN



IMAM SHOWKANI (RH) KA MARSIYA AUR KHIRAAJ-E-TAHSEEN:



Akaabir ulema ne unki wafaat par marsiye kahe aur unke kaamon ko bayaan karke unhe zabardast khiraaj e tahseen pesh kiya,

shahab e neelul awtaar allama shaukaani (rh) ne unki wafaat par ek taweel marsiya kaha, jinke chand ash'haar ye hain



" hosh karo aur gaflat se bedaar ho jaao,

beshak wa apne baap daada ya kisi qabeele ki taraf daawat na deta tha,

balke usne kitabullah aur sunnat ki taraf di jise hamare sacche nabi rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hamara deen banaaya,

ilm ka kohe par shikwah aur raf'aton ka markaz wafaat pa gaya,

wah naadir e rozgaar ulema ki mahfil ka ma'hoor o markaz tha,

imam e hidaayat, halaakat aafarenon ko khatm karne waala,

dushmno aur adaawaton ka safaaya karne waala,

tashangaan e ilm ko faizaan e ilm se seeraab karne waala apne maqsad ko pa lene waala,

muhammad bin abdul wahhab (rh) shahab e azmat aur buland faham wa adraak ka maalik tha,

uska aalmi maqaam itna buland tha jise kisi fakhr karne waala ka paana mushkil hai,

tamaam najd is aaftaab e ilm se munawwar ho chuka hai

usne manzil e hidaayat ko quwwat e dalail se sar kiya "



is azeez shakhsiyat ke baare me likhne ko bahut kuch hai, lekin apni baat isi par khatm karta hun... Aur aakhir me dua hai


ALLAH HAMEN HAQ BAAT SAMJHNE KI TAWFEEQ DE.....AMEEN

" IST'GHAASA" KI HAQIQAT





Bismillahirrahmanirraheem



" IST'GHAASA" KI HAQIQAT:



SHUBAH - 14



Mushrikeen ke yahan ek aur aitraaz wa shubah ye bhi hai ke wah kahte hain:-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya hai ke qayamat ke din log hazrat adam (as) se ist'ghaasa (yani madad) talab karenge, phir hz noah (as) se, hz ibrahim (as) se, hz musa (as) se, hz isa (as) aur bil'akhir nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas jaayenge "


maujooda mushrikeen ke nazdeek ye waqeya is baat par dalaalat karta hai ke ghair allah se ist'ghaasa karna SHIRK nahi hai...


JAWAB:



Ham allah ke dushmano ke dilon par muhar saabit karne waali zaat e baari taala ke tasbeeh bayaan karte hue kahte hai ke ham is ist'ghaasa se inkaar nahi karte jo kisi makhlooq se talab ki jaaye, ba'sharte ke wah kaam uske bas me ho,

jaisa ke hz musa (as) ke qisse me allah ka irshaad hai


" jo unki qaum mese tha usne dushman ke fard Ke khilaaf unse madad talab ki "

(surah qasas 15)



ya jis tarah insaan dauraan e jung ya dusre haalaat me apne saathion se aise kaamon me madad talab karta hai, jiski wah taaqat rakhte hain


Hamne toh " ist'ghaasa e ibaadat" ka inkaar kiya hai, jaisa ke ye log awliya-allah ke mazaaraat ke paas ya door'daraaz se unki adam maujoodgi me aise umoor me madad wa mushkil kushaai ke taalab hote hain jinki qudrat sirf allah hi ke paas hai,

jab ye saabit ho gaya toh qayamat ke roz logon ka ambiya wa rasool se ist'ghaasa karna ke wah allah se dua farmaayen taake logon ka hisaab wa kitaab ho aur ahle jannat us taaweel rukaawat ki pareshaani se raahat wa aaraam paayen,

is qism ka ist'ghaasa dunya wa aakhirat har do jahan me jaayez hai,

duniya me yun ke aap kisi paak baaz zinda aur haqiqi wali ke paas jaayen jo aapko apne paas bithaaye aur aapki baat sune, aap use kahen ke mere liye allah se dua farmaayen, Jis tarah ke ashaab e rasool (ra) aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hayaat e ba'barkaat me yahi sawaal kiya karte they ...


Albatta nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki wafaat ke baad hargiz hargiz aisa nahi huwa ke sahaba kiram (ra) ne roza mubaarak ke paas jaakar ye sawaal kiya ho, balke salaf us saaliheen ne toh aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki qabr e mubaarak ke paas khade hokar allah se sawaal karne ko bhi mamnu kaha hai. Taake koi kamzor imaan waala zaeff ul aitqaad ye na samjh le ke shayad usi roza se rafa e haajat ka sawaal kar raha hai...


SHUBAH-15



Aaj ke mushrikeen ek aitraaz wa shubah ye bhi pesh karte hain ke :-" jab hz ibraaheem (as) naar e namrood me daale gaye to hz jibreel (as) hz khaleel (as) ke paas aaye aur kaha:-" koi zarurat hai ? Toh hz ibraaheem ne farmaya:- aapki zaat se ho toh koi zarurat nahi, "

agar jibreel ameen (as) Se ist'ghaasa shirk hota toh wah hz ibraaheem (as) par iski pesh'kash hargiz na karte......!!!



JAWAB:



Ye bhi pichhle shak wa shubah se hi milta julta hai, hz jibreel (as) ne usi kaam me pesh'kash ki jo unke bas me tha,

kyonke hz jibreel (as) irshaad e illahi ki ru se " shadeed ul quwa" yani bade hi taaqatwar hain,

agar allah unhe ijaazat deta ke naar e namrood, uske qareeb wa jawaar ki zameen aur pahaadon ko ukhaad kar door mashriq wa maghrib me phenk den toh ye unke bas me tha...

Agar allah huqm deta ke hz ibraaheem (as) ko us jagah se uthaa kar kisi door'daraaz maqaam par pahuncha de to ye unki liye mumkin tha,

aur agar unhen irshaad hota ke ibraaheem (as) ko aasmaan ki taraf uthaa len toh wah us par bhi qaadir the,

ye waqeya toh bilkul usi sahab e daulat wa ghani insaan ki pesh'kash jaisa hai jo kisi majboor aur mohtaaj aadmi ko dekhe aur use karz dene ki khwaahish zaahir kare ya hasab e Zarurat use yun hi kuch dena chaahe magar wah pareshaan haal muhtaaz uski pesh'kash qubool karne se maazrat karde, aur sabr ka daaman haath se na chhode, yahan tak ke khud allah taala use rizq ata kare, jisme wah kisi ghair allah ka ahsaan mand na ho,


agar maujooda mushrikeen me koi faham wa faraasat maujood hai toh bataayen ke ye ' IST'GHAASA' ibaadat aur shirk kahan hai ???



ALLAH HAMEN TAWHEED KO SAMJHNE AUR USPAR AMAL KARNE KI TAWFEEQ DE...... Ameen

Friday 4 May 2012

LA'ILMI ME SHIRK AUR TAWBAH:










Bismillahirrahmanirraheem



LA'ILMI ME SHIRK AUR TAWBAH:


SHUBAH - 12



Mushrikeen ye qissa sun kar aitraaz karte hue kahte hain ke wah bani israel kaafir toh na hue, isi tarah jin sahaba ne " ZAAT E ANWAT" ke liya kaha wah bhi kaafir na hue


NOTE: read previos article, "namaz roza aur mushrik kaafir"



JAWAB:


Ham kahte hain ke bani israel ne apni us hangami si khwahish ko aalmi jaama na pahnaaya aur usi tarah nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se " zaat e anwaat" ka mutaalbah karne waale sahaba (ra) ne bhi amli aqdaam na kiya,

warna usme koi ikhtelaaf nahi ke agar bani israel amalan kar guzarte toh kaafir ho jaate,

usi tarah hi is par bhi ittefaaq hai ke jin sahaba (ra) ko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mana farmaya tha agar wah itaat na karte aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki mumaaniyat ke ba'wajood " zaat e anwaat" ko akhtiyaar kar lete toh Yaqinan kaafir ho jaate, aur yahi hamara matlab wa maqsad hai, ye qissa apne daaman me bahut se asbaaq(nasihat) aur faayede samaaye hue hai, maslan

1- is se malum hota hai ke na sirf musalman balke padha likha aalim bhi shirk ki kisi aisi qism me mubtela wa mulawwis ho sakta hai jise wah jaanta na ho


2-ye qissa hasool ilm ki zarurat aur aqsaam shirk se hazm wa ahtiyaat baratne ka sabaq deta hai


3- is se pata chalta hai ke jaahil ka kahna ke :-" tawheed ko hamne samjh liya hai "

bahut badi jihaalat aur ek shaitaani dhoka hai


4- ye qissa bataata hai ke mujtahid musalman agar la'ilmi me koi maujib e kufr baat kah de aur us par mutanabbeh hote hi fauran ruju karle toh wah kaafir nahi hoga


5- aur isse ye bhi andaza hota hai ke agarchah wah kaafir nahi hoga, iske ba'wajood use se shadeed tareen tanbiyah ki jayegi jaisa ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ki thi....
SHUBAH-13


Mushrikeen ke paas ek aur aitraaz ya shubah wa ashkaal hai,

wah kahte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hz usama (ra) ko us aadmi ke qatl karne se mana farmaya jo " la ilaaha illallah" ka iqraar kare aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya tha

" tune use la ilaaha illallah kah dene ke ba'wajood qatl kar diya"


(hadith)


isi tarah farmaan e risaalat hai

" mujhe huqm diya gaya hai ke main unke saath jihaad karun yahan tak ke wah la ilaaha illallah kahne lage"

(bukhari, wa muslim, sahih al jame 1/292)


mushrikeen isi tarah ki dusri hadith bhi pesh kar sakte hain jo qalma e tawheed kahne waale se dast'kash wa baaz rahne ke baare me hain,

aur in jaahilon ka khyaal hai ke ye qalma kahne waala kaafir nahin hota na hi use qatl kiya jaayega wah chaahe kuch bhi kar guzre...


JAWAB:


in jaahil mushrikeen se kaha jaayega aur ye hai bhi ek haqiqat ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne yahud ke saath jihaad kiya halaanke wah " la ilaaha illallah " kahte they ... Aur sahaba e rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne banu haneefa se jihaad kiya , halaanke wah la ilaaha illallah aur muhammadur rasoollullah ka bhi iqraar karte they, namazen padhte aur islam ka dawa karte they, aur usi tarah hi wah log bhi hain jin ko hz ali (ra) ne aag se jalaaya tha, aur ye ganwaar, jaahil mushrikeen is baat ka iqraar bhi karte hain ke jisne qabron se uthaaye jaane (ba'as ba'ad ul maut) ka inkaar kiya wah kaafir aur waajib ul qatl hain,

agarchah wah "la ilaaha illallah" bhi kyun na kahta ho aur jisne arkaan e islam mese kisi rukn ka inkaar kiya wah bhi kaafir aur waajib ul qatl hai, chaahe wah zabaan se qalmah tawheed bhi padhta ho...


Dusri soorat ye kis tarah mumkin hai ke arkaan e islam mese kisi ek juzz ka inkaar karne par toh use qalma Tawheed faayeda na de sake, magar deen e rasool ki buniyaad " tawheed" ke inkaar ke ba'wajood " la ilaaha illallah" uske ba'as e aman wa nijaat bana rahe, dar'haqiqat allah ke dushmano ne un hadithon ka matlab hi nahi samjha


hadith e hz usama (ra) ki haqiqat ye hai ke unhone " la ilaaha illallah " kah kar islam ka dawa karne waale aadmi ko ye samjhte hue qatl kar diya ke ye sirf jaan wa maal ke khauff se islaam ka lubaaha odh raha hai,


koi aadmi jab apne musalmaan hone ka izhaar kar de toh uske qatl se dast'kash ho jaana waajib hai, yahan tak ke uske us qaul wa fael ka tazaad saaf na ho jaaye, uske baare me farmaan illaahi hai


" aiy iman walon ! Jab tum allah ki raah me shamsheer zani karo toh ( jald'bazi se kaam na lo balke) haqiqat ki tahqeeq kar lo (yani suboot haasil kar lo )

(surah nisa 94)


ye ayat qatl se dast'kash hone aur haqiqat ki tahqeeq kar lene par dalaalat karti hai aur jab us
Dast'kashi ke baad bhi us shakhs se khilaaf e islam ka kaam sarzad ho toh " fata'bayyanu" me waarid allah ke irshaad ki ru se use qatal kiya jaayega, aur agar ek martaba qalma tawheed kah dene ke baad use qatal nahi kiya ja sakta toh phir " tashabbat" ka toh koi matlab hi na howa


aise hi dusri hadith aur us jaisi deegar misaalen hain jinka maana yahi hai jo hamne zikr kiya ke jab wah tawheed aur islaam ka izhaar kar de toh uske qatl se ruk jaana waajib hai, jabtak ke usse koi aisa kaam ru pazeer na ho jo uske dawa ke mukhaalif ho.. Aur uska saboot ye hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) jinhone " aq'taltuhu ba'da ma qaala la ilaaha illallah " kaha aur jinka farmaan hai

" umirtu an uqatilan-naasa hatta yaqoolu la ilaaha illallah"

unhi ka khaarjiyon ke baare me irshaad hai


" jahan bhi tumhara unse saamna ho, unhen qatl kar do, agar wah mujhe mil jaayen toh main unhen aadion ki tarah Qatl kar doon "

(bukhari, kitabul ambiya 61, muslim kitabul zaqaat 143-146)





Halaanke khaarji ibaadat karne, la ilaaha illallah kahne aur tasbeeh padhne me aam logon se badhkar they, yahan tak ke sahaba kiram (ra) unke muqaable me apni namazon ko kamtar aur mamooli samjhte they, khwarij ne sahaba kiram (ra) se hi ilm bhi seekha tha, magar jab unse shariat ki mukhaalifat zaahir hui toh unhen " la ilaaha illallah " kahne se kuch bhi faayeda na huwa..


Yahi haal yahud aur banu hanifa se jihad karne ka hai


isi tarah jab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko ek shakhs ne khabar di ke " banu mustalaq" ne zakaat rok li hai, toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne unke saath jihad karne ka iraada farma liya, usi waqt ye ayat naazil hui


" aiy iman walon ! Agar koi munaafiq aapko khabar de toh pahle usi acchi tarah tasdeeq kar lo"

(surah hujraat 6)


aur waqai woh khabar dene waala aadmi tahqeeq karne ke baad jhoota saabit huwa tha, ye tamaam waaqeyaat is Baat par dalaalat kuna hain ke jin ahaadith se in mushrikeen ne apne liye oochhe sahaare taraashe hain, unse nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki muraad ye thi jiska hamne zikr kiya hai....


ALLAH HAMEN HAQ BAAT KAHNE AUR SUNNE KI TAUFEEQ DE......

NAMAAZ, ROZA, AUR MUSHRIK WA KAAFIR:






Bismillahirrahmanirraheem



NAMAAZ, ROZA, AUR MUSHRIK WA KAAFIR:



Ye baat aap par saaf ho gayi ke jin logon ke saath nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne jihaad kiya tha wah maujoodah mushrikeen se ba'aitbaar e aqal bahtar aur ba'lihaz e shirk kamtar they,

note: read previous article

ye bhi yaad rahe ke ye log hamaari kahi baat par ek aitraaz wa shubah karte hain jo in ke deegar tamaam shukook wa shubuhaat se bada aham hai... Use bhi dil lagaakar sune


SHUBAH -10


maujoodah mushrikeen kahte hain:- jin mushrikeen wa kuffar ke baare me quraan naazil huwa hai wah allah ki wahdaniyat (la ilaaha illallah ) ki shahaadat nahi they they, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taqzeeb karte they, quraan ko jhutlaate they aur use jaadu qaraar dete they, jabke ham shahadat dete hain ke allah ke siwa koi maabood nahi, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) allah ke rasool hain, Ham quraan paak ke saccha qalaam e ilaahi hone ki tasdeeq karte hai, akhrawi zindagi par imaan rakhte hain , namaz ada karte hain, aur roze rakhte hai, phir aap hamen un mushrikeen ke saath kaise milaate hain ???


JAWAB:


Tamaam ulema e ummat ka is baat par ittefaaq hai ke agar kisi ne baaz umoor me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki tasdeeq aur kuch baaton me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taqzeeb ki toh wah kaafir hai, daayera islam se khaarij hai,

isi tarah koi quraan pak ke kuch hisse par imaan rakhe aur kuch hisse ka inkaar kare jaise kisi ne tawheed ka iqraar aur namaz ke farz hone se inkaar kiya, ya tawheed aur namaz ka iqraar aur zakaat ka inkaar kiya, ya un sab ka iqraar kiya aur roze ki farziyat ka inkaar kiya, ya kisi ne un tamaam ka toh iqraar kiya magar fareeza e hajj ka inkaar kar diya, aur jab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke zamaane me Kuch log hajj karne par tayyar na hue toh allah taala ne uske baare me ye aayat naazil farmaayi


" un logon par jo zaad e raah (kharch) rakhte hon sirf allah ke liye baitullah ka hajj farz hai aur jisne kufr kiya allah (usi se kiya) saari duniya se mustaghni aur be'niyaaz hai "

(surah imran 97)


aur jisne in sab faraiz ka iqraar kar liya lekin hayaat e aakharwi ka inkaar kar diya, unke kaafir hone aur uske jaan wa maal musalmaano ke liye bataur e ghanimat halaal hone par bhi ulema e ummat ka ittefaaq hai, jaisa ke irshad e rabbani hai


" jo log allah ke saath aur uske paighambaron ke saath kufr karte hain aur jo log ye chaahte hain ke allah aur uske rasoolon par hamaara imaan hai aur baaz par nahi aur chaahte hain ke imaan aur kufr ke beech koi raah nikaalen, yaqeen maano ke ye sab log asli kaafir hain aur kaafiron ke liye hamne ahaanat aamez (dardnaak) saza taiyyar kar rakhi hai "

(surah nisa 150-151)


jab allah taala apni kitab quraan e pak me saraahat farma chuka hai ke jo shakhs baaz umoor par imaan laaye aur baaz ka inkaar kare wah haqeeqi maano me pakka kaafir aur mazkoorah azaab ka mustahiq hai toh un mushrikeen ka aitraaz aur shubah zaail (khatm) ho gaya,


1- use kaha jaaye ke aap khud iqraar karte hain ke jisne rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki tamaam baaton me tasdeek ki aur fareeza namaz ka inkaar kiya uske kaafir hone aur uski jaan wa maal halaal hone par ijma hai,

aise hi wah shakhs jisne tamaam umoor ka iqraar kiya magar aakharwi zindagi ka inkaar kiya, usi tarah wah shakhs jisne ramzaan ul mubaarak ke roze ki farziyat ka inkaar kiya aur deegar tamaam baaton ki tasdeeq ki, uske mutaalliq kisi bhi mazhab me koi ikhtelaaf nahi, aur uske baare me toh khud quraan shaahid hai, jaisa ke hamne uper zikr kiya hai,

ye ek taiy shuda aur laazim haqiqat hai ke tawheed hi Wah azeem fareeza hai jisko le kar rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) tashreef laaye aur ye fareeza namaz, zakaat, roza, aur hajj sabse bada hai, toh phir ye kis tarah mumkin hai ke in umoor me se kisi ek ka inkaar karne waala toh kaafir ho jaaye agarchah wah rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke deegar tamaam ahkaam par amal paira ho ? Aur jab tamaam ambiya e rasool ke deen " tawheed" ka inkaar kare toh kaafir na ho !

Subhaanallah ! Ye kis qadr tajjub angez wa hairat khair jihaalat hai


2- use ye bhi kaha jaaye ke rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke sahaba (ra) ne "bani haneefa" ke saath jihaad kiya halaanke wah rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath islam la chuke they, wah shahadat dete they ke allah ke siwa koi maabood barhaq nahi aur rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) allah ke rasool hain, wah azaane dete aur namaz bhi padhte they . Agar wah kahe ke "banu haneefa" musailma kazzab (la) ko nabi samjhte they, toh kahiye ke yahi baat toh hamen matloob hai,

jab koi shakhs kisi ko nabi e kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka maqaam wa martaba de toh wah kaafir hoga, uska khoon wa maal halaal hogaya,

use iqraar e tawheed wa risaalat aur namaz koi faayeda na de sake toh us shakhs ka kya anjaam hoga ? Jisne ' khaaliq wa maalik, raaziq' kisi sahaba ya kisi nabi , ya kisi peer, wali, buzurg ko is maqaam tak pahuncha diya

isliye allah taala ne farmaya:

" isi tarah allah unke dilon par muhar laga deta hai jo ke nahi jaante"

(surah rum 59)


3- use kaha jaaye ke wah log jinhe hz ali (ra) ne aag se jalaaya tha, wah sab islam ka dawa karte they, hz ali (ra) ke ashaab wa rafqa mese they, unhone sahaba kiram (ra) se ilm seekha tha, lekin hz ali (ra) ke baare me yousuf aur shams wa qamar jaisi bad'aqeedgi ka shikaar ho gaye they.

Sahaba Kiram (ra) unki takfeer aur unke saath jihaad karne par jaise jama ho gaye ?

Kya aap us zan e baatil aur kham khayaali me mubtela hain ke sahaba kiram (ra) musalmaano ki takfeer kiya karte they ?


4- use ye bhi kaha jaaye ke " banu abaid ul qadah " jo " bani abbas" ke daur me maghrib aur misr (egypt) ke hukmaran they, wah sab shahadat dete they ke allah ke siwa koi mabood nahi, rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) allah ke rasool hain,

wah islam ke muddai they aur jumah wah paanch waqt ki namaz pabandi se ada karte they, magar jab unhone sharai umoor me mukhaalifat zaahir ki jo hamaari maujooda ghair sharai harkaat se kahin khafeef aur kam tar thi, toh ulema e waqt unke kufr , unke khilaaf jihaad , unke mulk ko " balad e harb" qaraar dene par mutaffiq ho gaye aur musalmaano ne unke saath jung karke islami mumaalik unke changul se azaad kara liye...


5- usse poochen: jab pahle log shirk, Takzeeb e rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh), takzeeb e qur'aan aur inkaar e ba'as (marne ke baad qabron se dobara uthaaya jaana) wagerah ki bina par kaafir qaraar nahi diye gaye balke " MURTAD" tak qaraar diye gaye.. Jaisa ke sab mazaahib ke tamaam ulema ne zikr kiya hai, aur murtad wah hai jo islam laane ke baad kufr ka artikaab kare.

Ulema e kiram ne bahut se umoor bayaan kiye hain jinka artikaab musalmaan ko kaafir aur uska maal wa jaan halaal kar deta hai,

yahan tak ke unhone ba'zaahir maamooli umoor tak ka bhi zikr kiya hai,

maslan, dil ki mawafiqat ke be'ghair sirf zabaan se kalmah kufr kahna, ya hanste hasaate bar sabeel mazaak aisa kalmah ada karna


6- aur usse ye bhi poochen ke wah log jinke baare me irshaad e rabbani hai

" allah ke qasmen khaate hain ke unhone nahi kaha, halaanke unhone kalmah e kufr kaha, aur islam laane ke baad kaafir ho gaye"


(surah tawba 74)




Kya aapne nahi suna ke allah paak ne unhe ek kalmah ki bina par kaafir kah diya hai, halaanke wah ahad risaalat me they, rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath jihaad me shareek hote, namazen padhe, zakaat dete, hajj karte aur allah ki wahdaaniyat par yaqeen rakhte they,

isi tarah wah log jinke baare me irshaad e rabbani hai


" unse pooche ke tum allah, uski nishaaniyon aur uske rasoolon ke saath mazaaq wa tafreeh karte ho ? Bahaane mat banaao, tum apne imaan ke baad kaafir ho gaye ho "

(surah tauba 65-66)


un logon ke mutaalliq rabbul izzat ne saraahat farma di ke wah imaandaar hone ke baad kaafir ho gaye they, halaanke wah ghazwa e tabook me rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath they, unhone qalmah kufr ada kiya aur kaha ke hamne toh ye sirf ba'taur e mazaak kaha tha...


SHUBAH -11



Ab unke is shubah par ghaur farmaayen: kahte hain ke tum log aise musalmaano Ki takfeer karte ho jo " la ilaaha illallah " ki shahadat dete hain, namazen padhte hain aur roze rakhte hain



JAWAB:



Iske jawab ko ghaur se sune aur acchhi tarah samjh len kyonki ye un suffaat ka nihaayat aham aur intehaai mufeed hissa hai


kalma e kufr se kaafir hone ki daleel kitabullah ka wah waaqeya bhi hai, jo bani israel ke islam aur ilm aur neki ke ba'wajood allah paak ne bayaan farmaya hai ke unhone hz moosa (as) ko kaha

" unke devtaon ki tarah hamare liye bhi koi mujassam deota (mabood) muqarrar kar den"

(surah araaf 138)


aur baaz sahaba kiram (ra) ka rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko ye kahna:


"( mushrikeen jis tarah ek darakht par apna aslaha latkaate aur usse barkat haasil karte hain) aise hi hamaare liye bhi koi darakht " zaat e anwaat" (aslaha latkaane aur barkat haasil karne ke liye) muntakhab farma den"


(musnad ahmad 5/218)


tab allah ke nabi rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne kasam kha kar farmaya ke tumhaara ye kahna bani israel ke qaul ki tarah hi hai.....


ALLAH HAMEN HAQ BAAT KAHNE AUR SUNNE KI TAUFEEQ DE...... Ameen

Friday 27 April 2012

' DUA ' AUR ' PUKAAR ' KA IBAADAT HONA

Bismillahirrahmanirraheem



' DUA ' AUR ' PUKAAR ' KA IBAADAT HONA:



SHUBAH(DOUBT)- 4


Aaj ke mushkireen kahte hain ke main siwaaye allah ke kisi ki ibaadat nahi karta aur nek logon ki panaah lena aur tangi wa takleef me mushkil kushaai ke liye unhe pukaarna koi ibaadat toh nahi


JAWAB:


Kya aap ye iqraar karte hain ke allah ne aapko khaalisatan sirf apni ibaadat farz ki hai, aur ye uska aap par haq hai ?

Jab wah(maujooda mushrikeen ) kahe , haan !,

toh usse apne us farz ki wazaahat talab karen jo sirf allah wahdahu la shareeq ki mukhlisaana ibaadat ki shakl me bande par allah ka haq hai ?

Agar wah ibaadat aur uski anwa wa aqsaam ko na jaanta ho toh use is tarah samjhaaye ke allah paak ka irshaad hai

" sirf apne rabb ko aajizi se aur poshidgi se pukaaro "

(surah aaraaf 55)


ab usse poochiye : kya aap samjh gaye ke dua aur pukaar allah ki ibaadat hai, to wah laziman kahega : haan !

Kyonki Dua toh khaalis ibaadat ka maakhaz hai, phir use kahen ke jab aapne iqraar kar liya ke pukaarna ibaadat hai, aur aane ne shab wa roz wa rija ya khauff wa ummeed me allah ko pukaara aur phir kisi haajat ke waqt kisi nabi ya ghair nabi ko bhi pukaara toh kya aapne allah ki ibaadat me kisi ghair ko shareek kiya ??

Uske haan kahne ke siwa koi chaarah hi nahi, toh use kahen:- jb aapne irshaad e ilaahi me waarid allah ke huqm par amal kiya jisme hai:


" allah ke liye namaz padh aur usi ke naam qurbaani de"

( surah kauthar 2)


aur allah ki farmabardaari ki, aur usi ki naam ki qurbaani di, kiya ye ibaadat hai ??

Yaqinan wah kahega: haan ! Phir usse poochen: agar aap kisi makhlooq, nabi, jinn, bhoot, ya unke elaawa kisi ke naam ki qurbaani den toh kya aapne allah ki ibaada me ghair ko shareeq kiya ??

Yaqinan wah iqraar karega, usse ye bhi poochen ke wah mushrikeen jin ke mutaallik qur'aan pak ki aayat Naazil hui hai, kya wah farishton, saaliheen aur laat wagerah ki ibaadat karte they ? Wah himmati taur par asbaat me jawaab dega, phir aap acchi tarah waazeh kar den ke unki ibaadat bhi dua wa zibaah aur ilteja(waseela) ke siwa kuch na thi..

Balke wah yaqeen rakhte they ke ham allah hi ke ghulaam hain, usi ke qabzah qudrat ke maathat hain, aur allah hi kaarsaaz hai, lekin unhone ghair allah ko unki qadr o manzilat ke pesh e nazar shifaarish ke liye pukaara aur usne rafa e haajat ki bheek maangi, unka ye fael bilkul waazeh shirq hai....



SHARIAYAH WA SHIRKIYYAH SHAFAA'AT:



SHUBAH- 5




Agar wah kahe: kya aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki shafaa'at ka inkaar karte hain ??


JAWAAB:


Use kahen ke : main nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki shifaa'at ka inkaar nahi karta hun,

balke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) shafaa'at karne waale aur maqbool e Shafaa'at hain aur main ummeedwaar e shafaa'at hun,

lekin tamaam tar shafaa'at allah ke haath me hai, jaisa ke farmaan e ilaahi hai


" tamaam tar shafaa'at wa shifaarish allah ke akhtiyaar me hai"


(surah zumar 44)


aur allah ke huqm ke beghair kisi ko shifaarish karne ki ijaazat tak nahi, jaisa ke irshaad e baari taala hai


" kaun hai jo uske paas (kisi ki ) shifaarish kare ? Jab tak ke uska huqm wa ijaazat na ho "


(surah baqarah 225)


aur jab tak allah paak kisi ke baare me shafaa'at karne ki ijaazat na denge, shifaa'at na ki jaa sakegi, jaisa ke rabbul izzat ka farmaan hai


" aur kisi ke liye shafaa'at na karenge, siwaaye uske jiski shafaa'at par allah ki razamandi haasil ho jaaye"


(surah ambiya 28)


aur allah ahle tawheed ke siwa kisi dusre aqeedah waale par razamand na hoga, jaisa ke farmaan e ilaahi hai


" agar kisi ne islaam ke elaawa koi dusra deen pasand kiya toh use allah qubool Nahi karega "


(surah imran 85)



jab tamaam shafaa'at sirf allah taala hi ke akhtiyaar me hai, uski ijaazat ke beghair mumkin hi nahi aur na hi nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ya koi dusra kisi ke baare me shafaa'at karega,

yahan tak ke unhe raza e ilaahi ka ishaara na mil jaaye aur raza e ilaahi ahle tawheed ke siwa kisi ko haasil na hogi,


is tarah jab baat khul kar saamne aagayi ke tamaam tar shafaa'at allah ke haath me hai toh usi se hi yun talab karen


" aiy allah ! Mujhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki shafaa'at se mahroom na kar "


" aiy allah ! nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko meri shafaa'at ka akhtiyaar aur mera shafaa bana "


aur aisi hi deegar duwaayen maanga karen



SHUBAH - 6



agar wah mushrik kahe ke : nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko shafaa'at di gayi hai, aur main usi me se talab karta hun jo nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko allah taala ne ata farmaayi hai...


JAWAB:


Use kahen ke: allah rabbul izzat ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko shafaa'at ata farmaayi magar aapko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se talab e shafaa'at ke aqdaam se mana kar diya hai, chunanche irshaad e rabbani hai:


" allah ke siwa kisi dusre ko mat pukaaro "


( surah jinn 18)


jab aap allah se dua karte hain ke wah nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko aap ka shafaai banaaye to uske farmaan

" allah ke saath kisi dusre ko mat pukaaro "

ki bhi itaat karen,


shafaa'at nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke elaawah baaz ko bhi di gayi hai,

sahih ahadith se saabit hai ke farishte shafaa'at karenge, awliya allah shafaa'at karenge, aur shanne shaoor se pahle wafaat paa jaane waale bacche bhi shafaa'at karenge,

aur kya aap ye kahte hain ki allah ne Unhe shafaa'at ata ki hai, aur main unse wah talab karta hun ?


Agar aap is tarah kahen toh aap nek logon ki ibaadat ke shirk me mulawwis hongn, jiska kitaab e ilaahi me zikr hai,

aur agar aapka jawaab manfi me ho toh aap ka ye qaul

" ke allah ne unhe haq shafaa'at me akhtiyaar diya hai aur main isi ata kardah haq se talab karta hun"

( qaul e mushrik)

baatil ho gaya.....



BUZURGON KO PUKAARNA:



SHUBAH - 7


Agar wah kahen ke : main kisi ko allah ka shareek nahi banaata, lekin saaleh buzurgon ko pukaarna aur unse ilteja e rafa e haajat to shirk nahi hai !



JAWAB:




Use kahen:- aap iqraar karte hain ke allah taala ne shirk ko zina se bhi badh kar haraam wa gumaah qaraar diya hai aur allah ye shirk kabhi maaf nahi karega,

wah kaunsa kaam hai jise allah ne haraam qaraar diya hai aur jisko wa qattan nahi bakhshega ??


Ye baat mushrik nahi jaanta..... Lihaaza use kahdn ke: aap khud ko shirk se Bari kaise samjhte hain, jabke aap shirk ko jaante hi nahi ??

Allah ne aap par ye kaise haraam kiya aur kaha ke wah ise maaf nahi karega ?

Aap na to iske baare me poochte hain aur na hi use jaante hain, kya aap ye samjh baithe hain ke allah ne shirk ko haraam toh kar diya hai magar shirk ki wazaahat nahi ki ??

Agar wah kahe ke : shirk buton ki pooja karne waalon ko kahte hain jabke ham buton ko nahi poojte hain,

mushrikeen e makka lakdion aur pattharon ke mutaallik ye aqeedah rakhte they ke wah paida karte aur rizq dete hain aur jo unhen pukaare unke kaam sunwaate hain ??


Qur'aan paak unke mutaallik is nazariye ko ghalat qaraar deta hai,

agar wah kahen ke:- wah lakdi, patthar ya mazaar ka qasad karte they, unhe pukaarte they, unke liye qurbaani dete aur kahte they ke ye hamen allah ka muqarrab banaate hain, unki barkat se allah hamaari mushkilaat hal karta hai aur unhi ki barkat se hamen nematon Se nawazta hai,


use kahiye:- aapne theek kaha, aur pattharo, qabron aur mazaaron wagerah par aap bhi yahi kuch karte hain, agar usne tasleem kar liya ke ye umoor buton ki ibaadat me shaamil hain toh unka yahi iqraar hamara matloob hai,


use ye kaha jaaye ke, aapke kahne ke mutaabik buton ki pooja ka naam shirk hai,

kya aapki muraad ye hai ke shirk usi ke saath makhsoos hai aur saaliheen se mushkil kushaai ki ilteja karna aur unhen pukaarna shirk nahi ???


Uski tardeed to quraan paak ki surah maida 112, surah saba 40-41, surah zumar 3, surah yunus 18, aayaat karti hain, jo pahle zikr ho chuki hain, jo farishton, hz isa (as) aur deegar saaleh buzurgon ko pukaarne waalon ke kufr se mutaallik hain,

yaqinan wah aapki baat ko tasleem karega ke agar kisi ne allah ki ibaadat me nek bandon me se kisi ko shareek kiya toh yahi wah shirk hai jiska qur'aan paak me zikr hai, uska yahi iqraar hamara asal matloob Hai,


is masla ka bhedh kuch is tarah hai ke jab wah kahe ke main allah ke saath shirk nahi karta toh usse astaghfaar karen ke allah ke saath shirk karna kya hai ?? Wazaahat farmayen !....


Agar wah kahe ke shirk buton ki ibaadat karna hai toh poochen ke buton ki ibadat karne ka kya matlab hai ?? Tafseel se bataayen !...

Agar wah wahe ke main ek allah ke siwa kisi ki ibaadat nahi karta toh usse allah taala ki ibaadat ka maana aur uski wazaahat talab karen..

Agar wah usi tarah kahe jis tarah quraan e paak ne bayaan kiya hai toh wah ain maqsood hai, aur agar use allah ki ibaadat ka maana wa matlab maalum hi nahi toh wah us cheez ke mutaallik daawa kaise karta hai jise wah jaanta hi nahi ??

Agar wah allah ke saath shirk aur buton ki ibaadat ke mafhoom ko waazeh karne waali ayat ke mukhaalif koi dusra matlab bayaan kare to daur e haazir ke mushrikeen aisa hi karte hain,

Ibaadat hi wah masla hai, jiski wajah se mushrikeen ham par tarah tarah ke ilzaamaat aieed karte hain, aur isi masle par aise bawaal khada karte hain jaise unke peshro bhaiyyon ne chillaate hue kaha tha..


" kya usne sab buton ke bajaaye sirf ek maabood muqarrar kar diya hai ? Ye toh badi hairaan kun baat hai "


(surah saad 5)



SHUBAH- 8



Agar wah kahen ke unhen farishton, aur ambiya ko pukaarne ki bina par kaafir nahi kaha gaya balke unke kaafir qaraar diye jaane ki wajah unka ye qaul tha

" farishte allah ki betiyan hain "

aur ham ye toh nahi kahte ke peer abdul qadir jeelaani (rh) ya koi dusra buzurg allah ka beta hai


JAWAAB:


Use kahen ke: allah ke bete ya beti ka zikr ya tohmat lagaana kufr hai

allah ka irshaad hai


" kah dijiye ke allah ek hai, allah be'niyaaz hai "

(surah ikhlaas 1,2)


' ahad' wah hai jiski koi nazeer na ho aur ' samad' wah hai jiski taraf zaruriyaat me qasad kiya ja Sakta ho, jisne iska inkaar kiya wah kaafir ho gaya, agarchah wah saari soorat ka inkaar na kare, kyonki farmaan e ilaahi hai

" allah ka na koi beta hai aur na hi uske saath dusra koi mabood hai"

( surah mominun 92)


allah taala ne dono aqsaam me farq kar diya hai, aur dono mese har ek ko mustaqmal kufr qaraar diya hai, aur irshaad e rabbani hai


" unhone jinno ko allah ka shareek banaaya, halaanke unhe usne paida kiya hai aur beghair ilm ke uske bete aur betiyaan bana li hain "

( surah anaam 101)


yahan allah taala ne dono qism ke kufr ko alag alag kar diya hai, aur uski daleel ye bhi hai ke jo log " laat" ke nek aadmi hone ke bawajood use pukaarne par kaffir hue, unhone use allah ka beta toh nahi banaaya tha, aur jo log jinno ki ibaadat ki bina par kaafir qaraar diye gaye, unhone bhi aisa nahi kiya tha...


Aise hi mazhab e arba (hanafi, maliki, shafai, hambali) ke tamaam ulema" murtad ka huqm" Ke baab me zikr karte hain ke :-" koi musalmaan jab ye maan le ke allah ka koi beta hai toh wah murtad hogaya aur wah dono aqsaam me farq bhi karte hain aur ye intehaai waazeh amr hai "



SHUBAH - 9



Agar wah kahen ke allah taala ka irshaad hai

" yani awliya allah par kisi qism ka khauff wa khatrah nahi hota aur na hi wah gham o fikr me mubtela hote hain "

(surah yunus 62)



JAWAB:


Use samjhaaiye ke ye toh haqiqat hai, lekin unhen pooja toh nahi jaayega,

ham allah ke saath unki ibaadat aur unhe allah ka shareek thahraane ke siwa toh kisi baat ka inkaar nahi karte balke unki muhabbat hudood e shariat me rahte hue unki farmabardari aur unki haqiqi karaamat ka aitraaf waajib hai,

awliya allah ki karaamat ka inkaar ahle bidat wa zalaalat ke elawa koi nahi karta,

aur allah ka deen dono intehaaiyon (yani awliya ki muhabbat me ghulu aur unki ibaadat aur awliya ke saath khafa aur unki karaamaat ke Qulli inkaar ) ke darmiyaan hai,

aur hidaayat dono gumraahiyon ke wast me aur haq dono baatilon ke darmiyaan hai.....


ALLAH HAMEN HAQ BAAT KAHNE , SUNNE AUR USPAR AMAL KARNE KI TAUFEEQ DE...... Ameen

Thursday 26 April 2012

TAWHEED AUR AHLE BAATIL KE SHAK WA SHUBUHAAT





Bismillahirrahmanirraheem




TAWHEED AUR AHLE BAATIL KA RADD:



Ab ham aapke saamne kitaab e ilaahi ke wah maqaamaat zikr kiye dete hain jo maujoodah mushrikeen ki un baaton ka jawaab hai jo unhone apne liye daleel wa hujjat qaraar de rakhe hain, ham kahte hai ke ahle baatil ka jawaab do tarah se hai


1- mujammal
2- mufassal


MUJAMMAL JAWAB:



Kisi bhi saaheb e aqal wa daanish shakhs ke liye bahut buland aur intehaai mufeed baat allah taala ka ye irshaad giraami hai


" wahi hai jisne aap(sws) par kitab naazil farmayi, iski baaz aayat zaahir al maana(mohkam, bahut sareeh) hain jo kitaab ki jad aur asal hain, aur baaz aayat mutshaabeh (milti julti) hain, pas jin logon ke dilo me mail (kazi) hai wah fitna pardaazi aur aqli taaweelaat ke liye un mutshaabeh aayaat ki pairwi karte hain, haalaanke unki TAWEEL allah ke siwa koi nahi jaanta"


(sura imran 7)


aur rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) Ek sahih hadith me farmate hain


" jab tum un logon ko dekho jo mutshaabehaat ki pairwi karte hon toh unse bacho kyonke unhi logon ka allah ne zikr farmaya hai"


(bukhaari, muslim, abu dawood)


iski misaal is tarah hai ke jab koi mushrik aapse kahe ke allah ne farmaya hai:

" sun lo ke jab allah ke dost hain, unhe na kuch khauff hoga aur na wah ghamzada honge"


" bila'shubah shafaa'at haq hai aur beshak allah ke yahan ambiya ki khaas qadr hai "


ya wah nabi e akram rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ki koi hadith apne baatil nazariyaat ke jawaaz ke liye pesh kare aur aap uski zikr kardah wah baat ka maana wa matlab nahi samjhte toh aap is tarah jawaab den ke:-" allah taala ne apni kitaab qur'aan majeed me un logon ka zikr farmaya hai jo kaz faham wa kaj ro hain aur mohkam (bahot sareeh) aayaat ko chhod kar mutshaabehaat (milti julti) ki pairwi karte hain, aur maine allah ka jo farmaan Zikr kiya hai use wah bhi bataayen ke mushrikeen e makka tawheed e rubuwiyyat ke qayel they magar unka kufr malaika (angel), ambiya aur awliya se ghalat wa beja talluq ki wajah se tha, aur ye bhi bataayen ke wah kahte they:

" ye toh allah ke yahan hamaare shifaarishi hain "


ye wah baat aur aayat hai jiska maana saaf hai jiska maana badalne ki kisi me zurrat nahi "


aur us mushrik se kahen ke :-" tune qur'aan paak aur hadith e rasool (rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ) se jo kuch zikr kiya hai, main toh uska matlab nahi samjhta magar ye bilkul saaf baat hai ke allah ke qalaam me tazaad(ikhtelaaf) ya tanaaqis nahi hai, aur na hi hadith e rasool [rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh)] qalaam ullah ke mukhaalif hoti hai,

ye bada umda aur sahih jawab hai, aap isi mamooli na samjhen, lekin isi samjh wahi sakta hai jise tawfeeq e ilaahi haasil ho, jaisa ke allah ka irshaad hai

" nahi Samjhaai jaati ye baat magar un logon ko jo sabr karte hain aur unhe seekha sakta use magar jo bade naseeb waala hai "

(surah fussilaat 35)



MUFASSAL JAWAB:



Allah ke dushmano ko deen e ambiya wa rasool (as) par bahut se aitraazaat aur shak wa shubuhaat hain jinki badaulat wah logon ko isse barghalaate aur rokte hain


SHUBAH- 1

UNKA KAHNA HAI:


" ham allah ke saath shirk nahi karte balke gawaahi dete hain ke us allah wahdahu la shareek ke elawah na koi paida karta hai, na rizq deta hai, na ko nafa de sakta hai, aur nahi nuksaan pahuncha sakta hai, hatta ke hazrat rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) bhi apni zaat ko nafa wa nuksaan pahunchaane ki taqat nahi rakhte, agarche peer abdul qaadir jeelaani (rh) ya koi dusra ho, LEKIN main gunaah gaar hoon, jabke awliya wa saaliheen ko allah ke yahan bada maqaam haasil hai, lihaaza main unke zariye (waseela) se allah se maangta hoon "


JAWAAB:





Aap is mazkoor ka is tarah jawaab den ke :-" jin mushrikeen ke saath rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne JIHAAD kiya, wah bhi is baat ke iqraari they, jiska tumne zikr kiya hai, wah bhi maante they ke unke ye but(idol) koi kaam nahi sawaarte, unhen toh unki jaah hashmat waali shifaarish chaahiye thi, aur uske mutaallik kitabullah ki aayat padh kar masla ki wazaahat karen"

note: read previos articles


SHUBAH - 2


agar wah kahen ke ye aayat toh un logon ke baare me utri hai jo buton ko poojte they, awliya allah aur buzurgon ko aap but kis tarah bana rahe hain ya ambiya ko faut shuda kaise kah sakte hain ??


JAWAAB:


use pahla waala jawab den aur jab wah iqraar kar le ke kuffar bhi allah taala ki rubuwiyyat ke qayel they aur jin buton ki taraf mutawajjoh rahte they, unki sirf sifaarish chaahte they, agar ye apne aur un kuffaar ke faael me farq poochna chaahen toh use bataayen ke baaz Kaafir toh buto ko pukaarte they aur unme se baaz to aisi bhi they jo awliya kiraam ko pukaarte they jinke mutaallik farmaan e illaahi hai


" ye log jin ko pukaarte hai aur apne rabb ki taraf WASEELA dhoondhte hain, un mese bahut nazdeek kaun hai ?"


(surah bani israel 57)


wah hz isa (as) aur unki maa ko pukaarte they... Allah taala ne farmaaya


"nahi maseeh ibn maryam magar paighambar, unse pahle bahut se paighambar ghuzre hain, unki maa siddeeqiyah (waliyah) thin, wah dono khaana khaate they, dekh ham un logon ke liye nishaaniyan kaise bayaan karte hain, phir dekh ke ye kahan se paltaaye jaate hain, kah dijiye ke kya tum siwaaye allah ke aisi cheezon ki ibaadat karte ho jo tumhaare nafa wa nuksaan ka ikhtiyaar nahi rakhti, aur allah hi sunne waala aur jaanne waala hai"

(surah maida 75-76)


aur use allah ka ye irshaad bhi sunaaye


" aur jis din (allah) un sabko ikattha karega phir farishton ko Kahega ke ye tumhaari ibaadat karte they, wah kahenge:- tu paak hai, tu hi hamaara kaarsaaz hai, inki bajaaye, balke ye jinno ki ibaadat karte they aur unki aksariyat jinno par imaan rakhti thi "

(surah saba 40, 41)


aur allah taalla ne farmaya:


" aur jab allah ne kaha ke aiy isa bin maryam ! Kya tune logon ko kaha tha ke mujhe aur meri maa ko allah ke elawa apna mabood banaayen ? Isa kahenge:- aiy paak parwardigaar ! Mujhe wah baat kahne ki kya padi hai jiska kahne ka mujhe koi haq nahi, agar maine ye baat kahi hui hai toh tu jaanta hai kyonki tu mere dil ke raazon ka waaqif bhi hai aur main tere dil ki kisi baat ko nahi jaanta, beshak tu hi ghaib ka ilm rakhne waala hai "

(surah maida 116)


in aayaat ke zikr ke baad use kahen :- aapko ilm ho gaya ke jisne but ki taraf ruju kiya usne kufr kiya, jisne saaliheen aur buzurgon ki taraf ruju kiya usne bhi kufr kiya,

aur rasoollullah sallalaho alaihi Wasallam (pbuh) ne unke saath jihaad kiya tha,



SHUBAH - 3



agar wah(maujooda mushrikeen) kahen ke kaafir to un buton se muraaden maangte they, jabke main shahaadat deta hun ke bila'shubah nafa dene aur nuksaan pahunchaane waala kaarsaaz sirf allah hi hai, aur usi se hi maangta hun, nek logon ko bas me toh kuch nahi.... Main allah ke yahan unki sirf shifaarish ki ummeed par unka qasad karta hun


JAWAB:



Ye hu bahu kuffaar wali baat hai,

use ye farmaan e ilaahi sunaayen


" jinhone allah ke bajaaye awliya (aur peeron) ko poojna shuru kiya wah bhi kahte hain ke ham unhe isliye poojte hai taake ye hamen allah ke muqarrabeen bana den"

(surah zumar 3)


aur irshaad e rabbani hai:



" aur wah kahte hain ke ye (but, wali, peer ) allah ke yahan hamare shifaarishi hain "


(surah younus 18)


yaad rakhiye unke shukook wa shubuhaat aur aitraazaat me se yahi 3 shubuhaat aham aur buniyaadi hain,

aur jab Aapko malum ho gaya ke allah taala ne apni kitaab me unki wazaahat kardi hui hai, aur aap ise sahih taur par samjh gaye hain toh phir ye sabse aasaan uljhane hain


ALLAH HAM SABKO TAWHEED KO SAMJHNE KI TAWFEEQ DE...... Ameen

Tuesday 24 April 2012

NEMAT-E-TAWHEED PAR KHUSHI AUR ISKE NA HONE KA KHAUFF

Bismillahirrahmanirraheem




NEMAT-E-TAWHEED PAR KHUSHI AUR ISKE NA HONE KA KHAUFF:


Jis waqt aapko meri zikr kardah baat ka qalbi irfaan haasil ho gaya, aur us SHIRK billah ka pata chal gaya, jiske baare me allah taala ne farmaya hai:


" beshak allah ye maaf na karega ke uske saath shareeq kiya jaaye aur uske elaawah wah jise chaahe bakhs dega "

(surah nisa 48)

aur aap allah ke us deen ko pahchaan gaye jo awwal ta aakhir tamaam rasoolon ka deen raha aur jiske siwa allah aur deen pasand nahi karega, aur jab us deen se jihaalat ke sabab aksar logon ke haalat aapne dekh li, toh usse aap ko do faayede haasil honge


1- PAHLA FAAYEDA:

iska pahla faayeda ye hoga ke allah ke fazl aur uski rahmat (aqeeda e tawheed ke apnaane) par khushi haasil hogi, jaisa ke allah taala ka irshaad hai

" kah dijiye ke allah ke fazl aur rahmat par khush ho jaayen, ye unki jama punji se badarja bahtar hai"

(surah yunus 87)





DUSRA FAAYEDA:



iska dusra faayedah ye hoga ke kufr wa shirk ke artikaab ka bahut zyaada khauff dil me baith jaayega,

bila'shubah jab aap jaan gaye ke insaan apni zabaan se nikli hui kisi baat se kaafir ho jaata hai, agarchah wah na'daanishtah taur par wah baat karta hai,

aisi baat karte hue wah is khaam khayaali me mubtila hota hai ke ye use allah ka muqarrab bana degi, jaisa ke kuffar karte they,

bil'khusoos agar allah aapko wah waqeya zahen nasheen kara de jo qaum e moosa (as) ke ilm aur salaahiyat aur neki ke ba'wajood unke mutaalliq bayaan kiya gaya hai ke wah ye kahte hue hz moosa (as) ke paas aaye:

" hamare liye bhi in mushrikeen ke buton ke tarah ek mujassam maabood muqarrar kar den"

(surah aaraaf 138)

unka ye waqeya aap me aise anjaam tak pahunchaane waale kufr wa shirk ke artekaab ke khauff aur anjaam se bachaane waali tawheed ki hifaazat ke jazbe ko bahut zayadah kar de ga,




HUKUMAT-E-ILAAHI:



yahan is baat ko zahen nasheen kar len ke bila'shubah ye bhi hukumat e ilaahi hai ke usne is TAWHEED E WAHYAT ka daaiee koi aisa NABI nahi bheja jiske bahut se dushman na banaaye hon, jaisa ke farmaan e ilaahi hai


" aur isi tarah ham ne nabi ke liye jinno aur insaano se shaitaan shifat dushman banaaye, jo ek dusre ke dil me dhokah wa fareb kaari ke liye malmua ki hui baatein daalte rahte they"

(surah anaam 112)


aur tawheed ke dushmanon ke paas bahut zayadah uloom , kitaabein aur dalail wa baraheen bhi ho sakte hain. Jaisa ke irshaad e rabbani hai

" gharz jab unke paighambar unke paas khuli daleel lekar aaye toh wah log apne us ilm par bade naazaa'n hue jo unko haasil tha"

(surah ghaffir 82)


FAREEZA TALEEM E KITAAB WA SUNNAT:



Jab aapko ye malum ho gaya balke yaqeen aa gaya ke allah ke deen (seeraat e mustaqeem) par chalne ke liye us raah par baithe hue ahle ilm ke Dalail, dushman e deen se saamna huwa karta hai, toh aapka farz hai ke taalimaat e nabwi se wabasta ho jaayen, taake un shyaateen ka muqaabla kar saken jinke qaid aur sarghane iblees laeen ne ra bb e zul zallal se kaha tha:


" main (unhe gumraah karne ke liye) teri seedhi raah par baithoonga, phir unke paas unke aage se, peeche se, daayen taraf se, aur baayen jaanib se aaunga, aur tu unme se aksariyat ko shukr karne waale nahi paayega"

(surah aaraaf 16, 17)


lekin jab aapne allah ki taraf ruju kar liya, uske dalail wa baraaheen ki taraf mutawajjoh ho gaye toh phir koi khauff wa khatrah aur fikr wa gham na karen, kyonke qur'an wa hadith ke saamne hasab e irshad e ilaahi hai


" shaitaan ki chaalein badi kamzor wa be'buniyaad hoti hain "

(surah nisa 74)


ahle tawheed me se sirf ek aadmi bhi un mushrikeen ke hazaaron ahle ilm par ghaalib aa jaayega, jaisa ke allah ka irshaad hai

" yaqinan hamaare (mukhlis bandon ke) lashkar hi un par ghaalib hain"

(surah suffaat 173)


bila'shubah allah ke bande jis tarah daleel wa zabaan se un par faayeq hote hain usi tarah hi shamsheer wa barchhe se bhi ghaalib rahte hain,

aur khatrah us muwahhid ke liye hai jo raah e tawheed par chale, magar ilm ke aslaha se nihatta ho,

ham par toh allah taala ne apni kitaab naazil farma kar bahut bada ahsaan kiya hai, jiske baare me khud allah taala ne farmaya hai

" is me har baat ki wazaahat hai, aur musalmaano ke liye zariya e hidayat aur ba'as e rahmat wa bashaarat hai "

(surah nahal 89)


ahle baatil koi bhi daleel hujjat pesh karen, qur'aan paak me uske tod ka saamaan maujood hai, chunanche allah ne farmaya:

" wah koi baat bhi laayen ham aapko haq baat pahuncha dete hain, aur bahut accha khol kar bayaan kar dete hain"


ALLAH HAMEN HAQ BAAT SAMJHNE KI TAWFEEQ DE...... AMEEN

"LA ILAAHA ILLALLAHU" KA MATLAB

Bismillahirrahmanirraheem



"LA ILAAHA ILLALLAHU" KA MATLAB:



Ye tawheed e ibaadat (ya tawheed e wahyat) hi hai jo ' la ilaaha illallahu ' ka maana maqsood aur matloob hai,

mushrikeen e makka ki nazar me bila'tardeed ' ILAAH' wahi tha Jiski taraf in umoor ( dua, nazar, zibaah, istghaasa) ke liye qasad kiya jaaye, chaahe wah farishta ho, nabi ho ya wali, durwesh ho ya jinn ya bhoot ho,

mushrikeen ye toh na maante they ke ' ilaah ' wah hai jo paida karta hai, rizq deta hai, aur qaarsaaz hai,

wah samjhte they ke safaat toh sirf allah taala ki hai, jaisa ke pahle mazmoon me unka iqraar pesh kiya gaya hai,

dar'asal ' ilaah ' se unki yahi muraad hoti thi jo ke hamaare zamaane ke mushrikeen ke " peer o murshid" se hoti hai,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) unhe qalma e tawheed " la ilaha illallahu ( allah ke siwa koi ibaadat ke layeq nahi )" ki taraf dawat dene ke liye aaye, aur is qalma se Uska asal maana maqsood wa matloob tha, na sirf uski ibaarat wa wa alfaaz,

aur wah jaahil kuffaar jaante they ke is qalma se nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka maqsad sirf ek allah se talluq paida karna, allah ke muqaabil tamaam maa'boodaane baatilah ka inkaar karna, aur unki ibaadat se bari hona hai,

lihaaza aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne jab unhe farmaya ke kaho:-" la ilaaha illallah "

(allah ke siwa koi ibaadat ke layeq nahi)

toh unhone jawaab diya

" kiya usne tamaam buton(idols) ki bajaaye ek maabood muqarrar kar diya hai? Ye tajjub angez baat hai"

(surah saad 5)


jab aap ko maalum ho gaya ke wah jaahil kuffar ye sab baatein sahih taur par jaante they, toh kis qadr tajjub hai us shakhs par jo islaam ka dawaa karta hai, magar is qalma ka mafhoom wa matlab nahi jaanta jise ganwaar kaaffir bhi jaante they,

ye qalima ke matloob wa maqsood aur maa'aani ke saath Dili aiteqaad wa amal ki bajaaye sirf uske alfaaz ki rat lagaate jaane ko hi sab kuch samjh baithta hai,

jabke un kuffar me se har saheb e aqal is ka mafhoom samjhta tha ke allah ke siwa na koi paida karta hai, na rizq deta hai aur na hi ko kaarsaaz hai,


aaj ke mushkireen se toh us zamaane ke mushrikeen bahtar taur par ' la ilaaha illallahu ' ka mafhoom samjhte they....


ALLAH HAMEN TAWHEED KO SAMJHNE AUR USPAR AMAL KARNE KI TAWFEEQ DE....... Ameen

Saturday 21 April 2012

IBAADAT KE LAYEQ SIRF EK ALLAH

Bismisllahirrahmanirraheem



IBAADAT KE LAYEQ SIRF EK ALLAH:



Aaj kal dekhne me aa raha hai ki bahut se qalmah go musalman allah ko chhodkar ghairon ki chaukhat par sajda karte hain aur ghairon se madad maangte hain,

ham chahte hain ki aapko is haqiqat se aashna karaaye


allah ka irshad hai


" aur ham ne har ummat me ek rasool bheja ke logon ! Allah ki ibaadat karo aur taghoot (ki ibadat) se bacho "

(surah nahel 36)

phir farmaya


" aur aapse pahle hamne jo bhi rasool bheja use hamne yahi wahiy karte rahe ke mere siwa koi mabood nahi, lihaza meri hi ibaadat karo "


(surah ambiya 25)

aur allah ne farmaya

" ye azeem kitab hai uski ayat ko muhkam banaya gaya hai, phir haqeem wa khabeer ki taraf se use mufassal bayaan kiya gaya hai (wah ye ke) tum allah ke siwa kisi ki ibaadat na karo, yaqinan main allah taala ki taraf se tumhen daraane aur khushkhabri dene wala hun"

(surah hud 1,2)


in aayaat me allah taala ne Saaf kar diya ke jinnat aur insaano ko mahaz isliye paida kiya gaya hai ke wah us wahdahu la shareeq ki ibaadat karen,

nez allah ke rasoolon ko usi ki ibadat ka huqm dene, aur ghair allah ki ibadat se rokne ke liye bheja,

ibadat ka matlab hai, allah taala ki tawheed ko baja laana aur uski hi ibaadat karna, etc,

allah taala ne bahut si aayat me inhi baaton ka huqm diya hai,


maslan allah taala ka ye farmaan hai

" unko huqm toh yahi huwa tha ke akhlaas amal ke saath yaqsa hokar allah ki ibaadat karen"

(surah bayyinah 5)

aur allah taala ne farmaya

" tere parwardigaar ne faisla kar diya hai ke tum sirf usi ki ibaadat karo"

(surah bani israel 23)

aur farmaya

" aap allah hi ki bandagi karen. Deen ko usi ke liye khaas karte hue, khabardaar ! Deen khaalis allah taala hi ka haq hai"

(surah zumar 2, 3)


is mazmoon ki bahut si ayat is baat par dalaalat karti hai ke, khaalis allah hi ki ibaadat karna Aur us ke siwa ambiya samet sab ki ibaadat ko chhodna zaroori hai, aur usme koi shak nahi ke dua (pukaar) ibadat ki aham qism balke tamaam aqsaam ki jaame hai,

lihaaza khaalis allah ko pukaarna wajib hai,

kisi aur ko sifaat illahi ke liye pukaarna SHIRK hai,

jaisa ke allah taala ka irshad hai

" allah hi ko pukaaro, apne deen ko uske liye khaalis karke, khwaah ye baat kafiron ko kitni hi naagwaar ho "

(surah momin/ghaffir 14)


ALLAH HAMEN SAMJHNE KI TAUFEEQ DE... Ameen

TAWHEED AUR SHIRK KI HAQIQAT:

Bismillahirrahmanirraheem




TAWHEED AUR SHIRK KI HAQIQAT:



Islam 3 cheezon ke majmua ka naam hai aur wah hai,

1-AQEEDA
2-AMAL
3-AKHLAAQ


Bahut se musalman akhlaaq hi ko sab kuch samjhne lagte hain, nahi to kam se kam aqeeda aur amal par usko tarjeeh dete hain aur kuch log amal se maroob ho jaate hain aur islam ke zaahiri aamaal ko anjaam dene waale ko sabse bada musalman aur allah ka qareebi samjhte hain haalanke sacchai yah hai ki islam me asal cheez aqeeda hai aur usi par islam ki imaarat qayem hai agar kisi ke paas aqeeda e tawheed nahi hai to uske paas islaam nahi aur na hi aakhirat me jannat ki shakl me usko nateeja milega,

ham neeche quran wa hadith ki roshni me is haqiqat ko waajeh karne ki koshish kar rahe hain


IMAAN AUR NEK AMAL:


Allah ne quraan ke andar jahan bhi jannat me hamesha ke liye daakhil hone ki baat kahi hai waha do cheezen shart ke taur par bayaan ki hai ek imaan(aqeeda e Tawheed) aur dusra nek amal jaisa ki allah ka farman hai:

" aur jo log imaan laaye aur nek kaam karen wa jannati hain jo jannat me hamesha rahenge"

(surah baqarah 82)


AQEEDA-E-TAWHEED KI AHMIYAT:


Jannat me hamesha daakhila ke liye tawheed aur nek amal ki zarurat hai lekin agar amal me kami aur susti ho gayi ho to uski maafi ke bahut raaste hain, nahi to jis qadar uski saza ho usko jhelne ke baad poori tarah aazaadi mil jaayegi aur jannat me daakhila mil jaayega,

jabki agar tawheed bilkul na ho ya usme shirk ki milaawat ho tab bhi allah koi amal qubool nahi karega, isliye aise shakhs ke liye jahannum muqaddar hai aur uspar jannat haraam hai, kyonki aise shakhs ke paas tawheed nahi aur tawheed na hone se agar usne koi nek kaam kiya bhi ho to allah ne use qubool nahi kiya hai..


Insan aur jinn ko allah ne sirf aqeeda-e-tawheed ko apnaane aur use amli zindagi me naafiz karne ke liye paida kiya hai



Jaisa ki allah ka farman hai:-" maine jinnat aur insaano ko sirf isliye paida kiya hai ki wah sirf meri ibadat karen"

(surah dhaariyaat 56)


aur isi paigaam ko duniya me basne waalon tak pahunchaane ke liye allah ne rasoolon ko bheja jaisa ki quran me hai

" hamne har ummat me rasool bheja ki(logon) sirf allah ki ibadat karo aur uske siwa tamaam maboodon se bacho"

(surah nahal 36)


ek dusri jagah allah ne aur zyada wazaahat ki hai:-" tujhse pahle bhi jo rasool hamne bheja uski taraf yahi wahi naazil farmayi ki mere siwa koi mabood barhaq nahi pas tum sab meri hi ibadat karo"

(surah ambiya 25)


SHIRK KI KHATARNAAKI:


farmaan e ilaahi hai:-" yaqinan allah apne saath shareeq kiye jaane ko nahi bakhsta aur uske siwa jise chaahe bakhs deta hai aur jo allah ke saath shareeq muqarrar karen usne bahut bada gunaah aur bohtaan baandha"

(surah nisa 48)

aisa hi allah taala ka irshaad hai:-" yaqeen maano Ki jo shakhs allah ke saath (kisi ko) shareek karta hai uska thikaana jahannum hi hai aur gunaahgaaron ki madad karne waala koi nahi hoga"

(surah maida 72)


nez shirk ko allah ne sabse bada gunaah qaraar diya hai:-" yaqinan shirk sabse bada gunaah hai"

(surah lukmaan 13)


shirk ki tabaahi sirf yah nahi ki uske zindagi bhar me jo kuch aamaal anjaam diye hon ,shirk sabko bekaar wa zaaya kar deta hai,

jaisa ki allah taala ka irshad hai:-" yaqinan teri taraf bhi aur tujhse pahle (ke tamam nabiyon) ki taraf bhi wahi ki gayi hai ki agar tune shirk kiya to bila shubah tera amal zaaye ho jaayega aur yaqinan tu nuksaan uthaane waalon mese ho jaayega"

(surah zumar 65)


nez taqriban 18 nabiyon ko naam ke saath zikr karne ke baad allah ka farman hai:-" allah ki hidayat hi hai jiske zariye apne bandon mese jisko chaahe uski hidayat karta hai aur agar (maan lo) yah hazraat bhi shirk karte to jo kuch yah Aamaal karte to wah sab barbaad ho jaate"

(surah anaam 88)


TAWHEE JANNAT KI CHHABHI(KEY) HAI:


Hz abu hurairah ra se riwayat hai ki aap(sws) ne farmaya:-" yaqiqan allah ke 99 naam hain ek kam sau jisne un naamon ko(unke maana aur mafhoom ke saath jisme poori tawheed maujood hai) mahfooz kar liya wah jannat me daakhil hoga"

(bukhari wa muslim)


hz usman ra se riwayat hai ki nabi akram sallalaho alaihi wasallam ne farmaya:-" jo shakhs is haal me mare ki wah yah jaanta ho ki allah ke siwa koi mabood barhaq nahi to wah jannat me daakhil hoga"

(muslim)


ALLAH HAMEN TAUFEEQ DE KI HAM KOI BHI AMAL KARNE SE PAHLE USE KITAB WA SUNNAT KI ROSHNI ME PARAKH LEN.........AMEEN

UMMAT-E-MUHAMMADIA ME BHI BUT(IDOL) POOJNE WAALE HONGE

Bismillahirrahmanirraheem


UMMAT-E-MUHAMMADIA ME BHI BUT(IDOL) POOJNE WAALE HONGE:


" aur allah taala ka huqm: kya tune kitab walon ko nahi dekha ki but aur taghoot par iman laate hain aur kaafiron ko iman walon se bahtar aur seedhi raah par batate hain"


(surah nisa 51)


" aur farmaya: kah de kya main we log na batatn? Jinka anjaam allah ke nazdeek bahut bura hai, yah we log hain jinhe allah ne lanat ki aur unpar ghussa huwa, aur unme se bandar(monkey) aur suwar bana diye, aur unhone but ki pooja(worship) ki"


(surah maida 60)


" aur farmaya: jin logon ne unpar (ashab e kahf par) ghalba paaya we yah bole ki ham un par masjid banayenge"


(surah kahf 12)


" abu saeed khudri ra se riwayat hai ki aap(sws) ne farmaya:"" beshak hi tum pahli ummaton ki pairwi me aise barabar ho jaaoge jaise teer teer se, yahan tak ki agar we goh ke bil me ghusenge to tum bhi ghusoge, sahaba ne arz kiya ki yahud wa Nasaara ki pairwi ham karenge? Farmaya to phir kaun?


(bukhari,muslim)


" hz sauban ra se marwi hai ki aapne farmaya: allah taala ne mere liye tamam zameen samet di, maine mashriq wa maghrib( east and west) dekhe, meri ummat ki huqumat wahan tak pahunchegi jahan tak mere liye zameen samet di gayi hai, aur mujhe dono khazaane, surkh(kaisar ka khajaana) aur safed( kisra ka khajaana) mile.

Maine apni ummat ke liye apne rabb se yah dua ki ki aam kahetsaali(drought) se use tabaah na kare, na unpar koi dusra dushman is tarah thope ki unki jamaat ko tabaah karde,

mere rabb ne farmaya:-" aiy muhammad(sws) ! Main jab koi faisla kar deta hun to wah tal nahi sakta, maine teri yah baat qubool ki ki aam kahetsaali se teri ummat ko na marunga aur na koi dusra dushman un par aisa thopunga jo unhe tabaah kar de, jabki saari duniya ikkattha hokar aisa karna chaahe yahan tak ki we khud aapas me ek dusre ko tabaah Karen, aur ek dusre ko qaid karen"


(sahih muslim)


haafiz barqani ne ise apni sahih me riwayat karke yah likha hai ki:-" main apni ummat par zaalim sardaaron se darta hun aur jab unme talwaar chalegi to qayamat tak band na hogi, aur qayamat nahi qayam hogi jab tak ki meri ummat ki ek jamaat mushrikon se na mile aur jab tak ki meri ummat ke bahut se log moorti puja(idol,grave worship) na karen,

aur beshak ki meri ummat me 30 jhoote(dajjal) honge, jo sabke sab nubuwwat ka daawa karenge, jabki main aakhiri nabi hun, mere baad kisi tarah ka nabi nahi hoga, aur meri ummat ka ek giroh fatehyaab rahega, unhe wah kuch nuksaan na pahunchaayenge, jo be sahara chhod de, yahan tak ki huqm(qayamat aa jaaye"

(tabrani)



DHYAN DENE WALI BAATEIN:


1- Surah nisa ki ayat ' alam-ta-ra' ki teeka,

2- surah maida ki ayat' qul hal unab-bi-ukum' ki teeka,

3- surah kahf ki ayat ' qaalal lazina' ki teeka,



4- yah sabse zyada zaroori hai ki zibt aur taghoot laane ke kya maayna hain? Kya dil se un par yaqeen karna hai, ya but paraston ki barabari karna, jabki din me nafrat ho aur jhoot samjhe


5- kitab walon ki yah baat ki khullam khulla jo log kaffir hain we musalmano se acche aur seedhi raah par hain

6- is ayat ka nichod hai ki is ummat me bhi aise log honge, jaisa ki abu saeed khudri ki hadith se saabit huwa,


7- is baat ka khulasa ki is ummat ke bahut se log but(idol) parast honge

8- tajjub ki baat yah hai ki is ummat me bhi nubuwwat ke daawedaar honge jaisa ki musailma kazzab, mukhtar bin abi ubaid sakfi tha, jabki yah qalmah shahadat ka ikraar karta tha, aur apne aapko ummat e muhammadia samajhta tha, nabi(sws) aur qur'an ko haq maanta tha, jisme aapka aakhiri nabi hona shaamil hai, bawajood in tamaam baaton ke jo aapas me mil nahi sakti, sabko maanta tha, yah sahaba ra ke aakhiri daur me nikla

Aur bahut si jamaaton ne iski pairwi ki


9- yah khushkhabri ki haq ummate muhammadia se bilkul khatm na hoga, jaisa ki pahli ummaton me huwa, balki ek giroh hamesha haq par qayam rahega,


10- badi nishaani aur pesangoyi ki ye log kam tadaat me hone ke bawajood kamyaab rahenge,

11- yah haalat qayamat tak rahegi

12- un baaton me jo badi nishaaniyan hain jinme se ek aapka ya batana hi allah ne mere liye mashrik wa maghrib(east west) ko samet diya jo bilkul aisa hi huwa jabki ' north aur south' ka zikr nahi farmaya, aur ek aapka yah batana ki do khazaane mujhe diye gaye, aur aapka yah batana ki ummat ke baare me meri do duayen qubool hui, aur aapka ya batana ki ummat me talwaar chalengi, phir band na hogi, aur aapka ya batana ki ummat me jhoote nabi honge, aur aapka ya batana ki haq ki jamaat qayamat tak baaqi rahegi, ye sab baatein jaisa ki aapne bayan farmaya,

13- ummat ko sirf zaalim sardaron, Ulama aur leardaron se darr hai ki yah ghalat raah chalakar tabaah na karen

14- murti pooja ke kya maayene hain.?

" LA ILAHA ILLALAHU " KI DAWAT

Bismillahirrahmanirraheem




" kah de yah mera raasta hai ki mai aur meri pairwi karne waala allah ki taraf aql wa hiqmat se bulaate hain, aur allah to har ek shirk wa buraayi se paak hai aur main bhi shirk karne walon me se nahi hun"


(surah yousuf 108)


" hz ibne abbas(ra) kahte hain ki aap(sws) ne jab muaz bin jabal ra ko yemen bheja to unse kaha ki tum kitaab walon ki ek qaum me jaa rahe ho( yani padhe likhe log hain) to sabse pahle jis cheez ki taraf tum unhe daawat do, wah" la illaha illallahu" ka sacche din se iqraar hai aur ek riwayat me iski jagah allah ki tawheed ka iqraar hai, to agar we log yah qubool kar len to unhe batao ki allah ne un par har raat wa din 5 waqt ki namazen farz ki hain, agar we ise qubool kar len to unhe batao ki allah ne un par sadqa farz kiya hai jo unke maaldaar logon se lekar gharibon(miskeen) me baata jaayega, to agar we ise qubool kar len , to unke acche maalon ke Lene se bachna, aur miskeen ki bad'dua na lena, isliye ki usme aur allah me koi parda nahi hota"


(bukhari,muslim)



hz sahal bin saad ra se marwi hai ki nabi(sws) ne khaibar ke aakhiri din farmaya kal main aise shakhs ko jhanda(flag) dunga jo allah wa rasool se muhabbat rakhta hai aur allah wa rasool usse muhabbat rakhte hain, usi ke haath par allah fatah dega, to log raat bhar khayal daudaate rahe ki jhanda kisko diya jaayga?? Jab subah hui to aapke paas aaye, har ek yahi ummeed kiye hue tha ki usi ko aap jhanda denge, aapne farmaya:- " ali bin abi taalib kahan hain? Jawab mila ki unki aankhen dukh rahi hain, aapne ek aadmi bheja ki unhe le aao, jab aa gaye to dua ki aur aankhon me thooka, usi waqt aankhen theek ho gayi maano kuch tha hi nahi, phir unhe jhanda diya, aur farmaya:-" jaao aasaani se, jab unke maidaan me pahuncho to unhe islam ki taraf bulaao aur allah ke jo huqm unpar naafez hote hain, Unko batao, khuda ki kasam, agar ek aadmi bhi tumhari koshish se hidayat paaye to shurkh oonton se bahtar hai(shurkh oont arab me keemti cheez hai)"


( bukhari,muslim)


kuch dhyan dene waali baatein:




1- aapke maanne walon ka yahi tareeqa hai ki allah ki taraf logon ko bulaaye.

2- soch samjh kar dawat dena farz hai

3- tawheed ki khoobi yah hai ki wah allah ki zaat ko buraayi se paak karti hai

4- shirk ki buraaiyon me se yah hai ki allah ki zaat par aib lagaana

5-musalmanon ko mushrikon se bachaana, yah bada eham masla hai aisa na ho ki wah unme rahe, jabki shirk na kare

6- tawheed sabse pahla farz hai jiski dawat di jaaye

7- sabse pahle tawheed ki dawat di jaayegi, yahan tak ki namaz se bhi pahle

8- la illaha illallahu ke iqraar ke yahi maayna hai ki allah ki tawheed ki jaaye

9- insaan kabhi kitaab waala hota hai, aur wah "tawheed" ko nahi jaanta, ya jaanta hai magar uske mutabik amal nahi Karta

10- dheere dheere ilm dene ki zarurat par dhyan dilaana

11- ek ke baad ek dusri aham baaton ko serialwise batana chahiye

12- alimon ka shargirdon ke zehan se shaq o shubah door kar dena

13- zakaat me acche maalon ke lene se manahi

14- miskeen ki bad'dua se bachna

15- yah khabar dena ki miskeen ki dua ke liye koi parda nahi hota

16- jo kuch sayyidul mursaleen sayyidul auliya nabi(sws) ko dukh, taqleef, bhook aur bimari etc pahunchi yah sab tawheed ke tarqon se hai

17- aapka yah farmana-" kal main aise shakhs ko jhanda(flag) dunga...." nubuwwat ki nishaaniyon me se hai

18- aapka hz ali(ra) ki aankh me thookna bhi nubuwwat ki nishaaniyon me se hai,

19- hz ali(ra) ka maqaam o martaba

20- sahaba(ra) ka maqaam ki we raat bhar is khyal me rahe ki dekhna chahiye subah jhanda kise milta hai, is khayal me fatah ki khushkhabri bhi bhool gaye


21- yahan se taqdeer par imaan laana saabit hota hai Kyonki jo jhande ka khayal bhi na rakhta tha use mil gaya, aur jo raat bhar isi khayal me raha wah mahroom raha

22- aapka tahzeeb sikhaana, yani yah farmana ki " jaldi jaldi na karna"

23- jung se pahle islaam ki dawat dena

24- islam ki dawat har haalat me zaruri hai, chaahe un logon se pahle pahal khitaab ho, ya pahle dawat di ja chuki ho aur jung bhi ( jaisa ki khaibar me huwa)

25- aqalmandi se dawat dena, jaisa ki aapne farmaya:-" unhe jo un par farz hai, uski khabar de"

26- islam me allah ka haq pahchanna........





Sheikh ul islam muhammad bin abdul wahab (rh)...... By kitabut tawheed

MUSHKIREEN AUR TAWHEED-E-RUBUWIYYA:

bismillahirrahmanirraheem


MUSHKIREEN AUR TAWHEED-E-RUBUWIYYA:




PICHLE POST SE TAWHEED-E-RUBUWIYYA KA MATLAB SAAF HO GAYA HAI KI HAR CHEEZ KA KHALIK,MAALIK AUR PAIDA KARNE WAALA SIRF ALLAH HAI,

TAWHEED KI YEH QISM TAMAAM MUSHKIREEN BHI MAANTE RAHE HAIN,

ALLAH FARMAATA HAI:" AGAR AAP UNSE PUCCHEN UNHE KISNE PAIDA KIYA? TO WO YAQINAN YAHI KAHENGE ,ALLAH NE!"

(AZ-ZUKHRUF 46,87)

"AUR UNSE PUCCHIYE TUMHE AASMAAN WA ZAMEEN SE ROZI KAUN DETA HAI?
TUMHARE AANKHON AUR KAANO KA MAALIK KAUN HAI?
ZINDA KO MURDA SE,AUR MURDA KO ZINDA SE KAUN NIKAALTA HAI?
AUR MAMLON KI TADBEER KAUN KAR RAHA HAI?
TO WO YAHI JAWAAB DENGE, ALLAH"

(YOUNUS 10,31)

YAH HAI TAWHEED-E-RUBUWIYYA,
LEKIN SIRF IKRAAR KAR LENE WAALA KI HAR CHEEZ KA KHAALIK,MAALIK,RAAZIQ SIRF ALLAH HAI,
ZAROORI NAHI KI TAWHEED-E-ULUHIYYA AUR TAWHEED ASMA WA SIFAAT KO BHI MAANTA HO,

ISLIYE KI INSAANON KI EK BADI TADAAT ALLAH KI RUBUWIYYA KO TASLEEM KARTI HAI, LEKIN ISKE BAWAJOOD WAH


USKE SAATH DUSRON KI BHI IBADAT KARTE HAIN,


TAWHEED-E-ULUHIYYA:

ISKA MATLAB HAI, YAH AQEEDA RAKHA JAAYE KI IBADAT BHI SIRF EK ALLAH KE LIYE HAI AUR USKE SIWA KOI IBADAT KE LAYAK NAHI,

IBADAT KI TAMAAM QISMEIN SIRF USI KE SAATH KHAAS HAI,

IS AITBAAR SE TAWHEED-E-ULUHIYYA KE BHAAV ME YAH BAAT SHAMIL HOGI KI IBADAT ME IKHLAAS KAAMIL HO, MATLAB USKA KOI BHI HISSA GAIRULLAH KE LIYE NA HO,

ALLAH KE SAATH KISI KO SHAREEQ NA KARNA HI TAWHEED-E-ULLUHIYYA KAHLAATA HAI

TAWHEED KI YAH QISM, TAWHEED KI DUSRI QISMON KO BHI SAMET LETI HAI, USME TAWHEED-E-RUBUWIYYA BHI AA JAATI HAI AUR TAWHEED ASMA WA SIFAAT BHI,
LEKIN SIRF TAWHEED RUBUWIYYA ME TAWHEED KI DUSRI QISMEIN NAHI AATI, ISLIYE KI ALLAH KO AKELA MAALIK MAANNE WAALA, JAROORI NAHI KI TAWHEED-E-ULUHIYYA ME BHI USE EK MAANE, WAH ALLAH KO TO MAALIK MAANTA HAI ,LEKIN ALLAH KI IBADAT WA PAIRVI NAHI KARTA,

YA SIRF USI EK KI IBADAT WA PAIRVI NAHI KARTA

ISI TARAH TAWHEED-E-ASMA WA SIFAAT BHI TAWHEED KI DUSRI QISMON KO APNE ANDAR SHAMIL NAHI KARTI,

LEKIN TAWHEED-E-ULUHIYYA KO MAANNE WAALA YAH IQRAAR KARTA HAI KI ALLAH HI IBADAT KA HAQDAAR HAI, USKE SIWA KOI IBADAT KA HAQDAR NAHI, WAH YAH BHI MAANTA HAI KI SAARE JAHAAN KA MAALIK BHI ALLAH HAI,
ISKE ELAWA USKE ASMA-E-HUSNA AUR SIFAAT KAAMILA HAIN ISLIYE KI KHAALIS IBADAT SIRF USI KE LIYE HO SAKTI HAI JO RABB HO,
NA KI KISI AUR KE LIYE BHI,

USKI IBADAT KAISE HO SAKTI HAI JO KISI CHEEZ KA MAALIK, KHALIK, RAAZIQ NA HO, BALKI MAKHLOOK HO!

ISI TARAH USKI BHI IBADAT NAHI KI JAA SAKTI JO SOTA YA BIMAAR HOTA HAI AUR MAUT SE DO CHAAR HOTA HAI,

YE SAB KHOOBIYAN MAKHLOOK ME HAI, ALLAH ME NAHI'

AUR ALLAH HAR JAGAH KA MAALIK HAI WO KABHI NAHI SOTA NA MARTA HAI

ALLAHUAKBAR

MUSALMANO KA QALMAH TAWHEED WA SHAHADAT "LA-ILLAHA-ILLALLAH( ALLAH KE SIWA KOI MABOOD NAHI),
TAWHEED KI TEENO QISMON ME CHHAAYA HUWA HAI


ISLIYE IS QALMAE KO ADA KARNE WAALA MUSALMAAN QARAAR PAAYA JAATA HAI, WARNA TAWHEED-E-RUBUWIYYA KO MUSHRIQ BHI MAANTE HAIN,MAGAR WO MUSALMAAN NAHI,

ISLAM ME WAHI DAAKHIL SAMJHA JAYEGA JO TAWHEED KE TEENON QISMON PAR IMAAN RAKHEGA , KYONKI "LA-ILAHA-ILLALLAH" ME TEENO QISMEIN SAAMIL HAIN,

ISI TAWHEED E ULUHIYY KE LIYE ALLAH NE INSAANO AUR JINNO KO PAIDA FARMAYA HAI,


"MAINE INSAANO AUR JINNO KO PAIDA KIYA HAI KI WO SIRF MERI HI IBADAT KAREN"

(AZ DHARIYAT 51, 56)

SAARE NABIYON KA AANA HI IS TAWHEED E ULUHIYYA KE LIYE HUWA

"HAMNE HAR UMMAT ME EK RASOOL(USNE YAHI PAIGHAM DIYA) KI SIRF EK ALLAH HI IBADAT KARO,AUR TAGOOT SE BACHO"

(AZ DHRIYAT 51,56)

TAGHOOT KYA HAI?

HAR WAH CHEEZ JISE ALLAH KO CHHODKAR IBADAT KI JAAYE

DUSRI JAGAH FARMAYA:" HAMNE AAPSE PAHLE JO RASOOL BHEJA, USE YAHI WAHY KI GAYI MERE SIWA KOI MABOOD NAHI,TO TUM SIRF MERI HI IBADAT KARO"

(AL-AMBIYA 21,24)

AUR YAHI QALMAH, ISLAM KI 5

BUNIYADI ARKAAN ME SE EK RUKN BALKI PAHLA RUKN HAI,

ALLAH TAALA NE BATLAAYA KI HZ NOOH, HUD ,SAALEH AUR SHUAIB (A.S) IN TAMAAM RASOOLON NE YAHI DAAWAT DI,

"ALLAH KI IBADAT KARO,USKE SIWA KOI MAABOOD NAHI"

(AL-ARAAF 7 ,65)


THE END....

TAWHEED KI QISMEIN(TYPES) AUR ZAROORATEIN

Bismillahirrahmanirraheem





TAWHEED KI QISMEIM(TYPES) AUR JAROORATEIN(IMPORTANCE)




YAH BAAT KO SAABIT HAI AUR SAAF HAI KI ALLAH TAALA MAUJOOD HAI AUR ARSH PAR HAI, IS BAAT PAR SAB MUSALMAANO KA IMAAN HAI,

LEKIN ISKE BAWAJOOD YAH HAQIQAT HAI KI ALLAH KE IMAAN KE TAKAAZON SE MUSALMAANO KI BADI TADAAT ISSE WAAQIF NAHI HAI,

ISLIYE WAH TAWHEED KI HAQIQAT,USKI QISMEIN AUR JARURATON SE GHAFIL AUR MUSHKIRAANA AQIDON KA SHIKAAR HAIN,
ISLIYE ZAROORI HAI KI PAHLE ALLAH PAR IMAAN RAKHNE KA MATLAB AUR USKI ZAROORATON KO SAMJHA JAAYE, TAAKI TAWHEED KI SAHI HAQIQAT SAMAJH ME AA JAAYE

ALLAH KE MANNE KE MATLAB YAH HAI KI YAH AQEEDA RAKHA JAAYE KI ALLAH HAR CHEEZ KA RAB AUR MAALIK HAI, WAHI HAR CHEEZ KA KHAALIK AUR APNI MAKHLOOK KA MAALIK AUR PAALNE WAALA HAI,

WAHI IS BAAT KA HAQDAAR HAI KI USKI IBADAT KI JAAYE AUR USME KISI KO SHAREEK NA KIYA JAAYE,

NAMAZ,ROZA,DUA WA MAAFI ,DARR ,UMMEED ,SAB USI KA HAQ HAI NA KISI KE LIYE NAMAZ PADHI JAAYE,NA ROZA RAKHA JAAYE, NA KISI TAREEQE SE KISI KA DARR RAKHA JAAYE(ALLAH KE ELAWA), NA DUSRE SE UMMEED RAKHI JAAYE,! USI KE SAAMNE JHUKA(SAJDA) JAAYE AUR ALLAH HI SE MADAD(DUA) MAANGI JAAYE , ALLAH KE ELAWA KOI AISI JAAT NAHI KI JISKE SAAMNE JHUKA AUR BANDAGI KI JAAYE, ALLAH HAR TARAH KI KHOOBIYON KA MAALIK HAI


IS TARAH SE ALLAH KE MAANNE ME TAWHEED KI TEENON QISMEIN AA JAATI HAIN


1-TAWHEED-E-RUBUWIYYA

2-TAWHEED-E-ULUHIYYA

3-TAWHEED-UL-WAHYAT

TAWHEED-E-RUBUWIYYA:


ISKA MATLAB, IS AQIDE PAR YAKEEN RAKHNA HAI KI ALLAH TAALA HI HAR CHEEZ KA MAALIK HAI, USKE SIWA KOI MAALIK NAHI,

RAB KA MATLAB HAI: MAALIK, WAH APNI MAKHLOOK KA MAALIK AUR PAALNE WAALA HAI,

ISKA MATLAB HOGA UNHE(MAKHLOOQ) PAIDA KARNE WAALA BHI WAHI AKELA HAI AUR MAALIK BHI WAHI HAI AUR UNKE TAMAM KAMON KI TADBEER BHI SIRF AUR SIRF ALLAH HI KE HAATHON ME HAI,

TAWHEED E RUBUWIYYA KA MATLAB HOGA KI YAH IQRAAR KIYA JAAYE KI WAHI MAKHLOOK KA KHAALIK WA MAALIK HAI, WAHI USKO PAIDA KARNE WAALA AUR JILAANE WAALA HAI, AUR MUSIBAT KE WAQT WAHI DUAON KA SUNNE WAALA AUR MADAD KARNE WAALA HAI, WAHI DENE AUR ROKHNE WAALA HAI, SAARI QAAYNAAT USKI MAKHLOOQ HAI, AUR USI KA HUKM USME CHALTA HAI,


"KHABARDAAR! PAIDAISH BHI USI KA KAAM HAI AUR HUKM BHI USI KA CHALTA HAI, BADA BARKAT WAALA HAI WAH ALLAH, JO MAALIK HAI POORE SANSAAR KA "

(AL-ARAAF 154)


QUR'AN ME TAMAAM BAATON KO BADI SAFAAI SE BAYAAN KI GAYA HAI, KYONKI YAH TAWHEED-E-RUBUWIYYA HI TAWHEED KI DUSRI QISMON KE LIYE BHI BUNIYAAD WA AADHAR(BASE) HAI, JAB YE SACH(TRUE) HAI KI ALLAH HI QAAYNAAT KA KHAALIK WA MAALIK HAI AUR QAAYNAAT KA POORA DAROMADAAR BHI USI KE HAATH ME HAI TO IS BAAT KA HAQDAAR BHI WAHI HAI, DARNE AUR KAANPNE KA IZHAAR BHI USI KE SAAMNE KIYA JAANA CHAHIYE, WAHI SAARI TAREEFEIN WA SHUKR KA HAQDAAR HAI AUR DUA WA MAAFI KE LAYAK HAI,

ISLIYE KI YE SAB BAATEIN USI KE LIYE HI SAHI HAIN,JO HAR CHEEZ KA MAALIK HAI

IN KHOOBIYON SE MAHROOM MAALIK(GHAIRULLAH) APNE BANDON KA ILM NAHI RAKH SAKTA AUR JO BANDON SE BAKHABAR NA HO, WAH UNKI HIFAAZAT KA KAAM KAISE ANJAAM DE SAKTA HAI?

AUR JO APNI MAKHLOOQ KI HIFAAZAT NA KAR SAKTA HO, WAH PAALNE WAALA KAISE HO SAKTA HAI?

JO LOG IS BAAT KA IQRAR KAREN KI KAAYNAAT KA KHALIQ AUR MAALIK ALLAH HI HAI(MATLAB TAWHEED E RUBUWIYYA KO TO MAANE)

LEKIN IBADAT ME WO ALLAH KE SAATH KISI DUSRE KO SHARIK KARE(MATLAB TAWHEED E ULUHIYYA KO TASLEEM NA KARE) ISI TARAH ALLAH KI KHOOBIYON KA INKAAR KARE,

YA BANDON KI KHOOBIYON KE SAATH MILA DE

YA UNKI BEKAAR,DAEF DALEEL DE(MATLAB TAWHEED NAAB WA KHOOBIYON KA INKAAR KARE)

TO USKA SAAF MATLAB HAI USNE TAWHEED KO NAHI MAANA JO UNHE KUFR SE NIKAAL KAR IMAAN ME LE AAYE,

JABKI KUFFAR E MAKKAH IKRAR KARTE THE KI HAR CHEEZ KA KHALIK ALLAH HAI, ISKE BAWAJOOD ALLAH NE UNHE MUSHRIK KAHA, KYON?


ISLIYE UNHONE MAANA KI RABB EK HI HAI, LEKIN YE NAHI MAANA KI SHAASHAK(RULER) BHI EK HI HAI, AUR IS WAJAH SE UNHONE GHAIRON KO BHI IBADAT ME SHAREEQ KIYA,

ISI TARAH UNHONE NAAMO WA KHOOBIYON ME BHI ALLAH KO EK NAHI MAANA AUR USKI KHOOBIYON KA INKAAR KIYA YA USKI KHOOBIYAN KO LOGON(PEER,BABA) ME TASLEEM KIYA

ALLAH TAALA NE UNKE BAARE ME FARMAYA:"ALLAH KO MANNE WAALE AKSAR MUSHRIQ HAIN"

(YOUSUF 12, 106)


MATLAB UNHONE YE TO MAANA KI UNKA KHALIK, RAAZIQ AUR ZINDGI AUR MAUT DENE WAALA ALLAH HAI, LEKIN IBADAT GAIRON KI BHI KARTE RAHE,

ISLIYE WO APNE ADHURE(HALF) IMAAN KE WAJAH SE IMAAN BILLAH KE BAWAJOOD MUSHRIQ HI RAHE,

ISSE MALUM HUA KI MUSALMAAN HONE KI LIYE ZAROORI HAI KI TAWHEED-E-RUBUWIYYA KE SAATH TAWHEED-E-ULUHIYYA AUR TAWHEED ASMA WA SIFAAT PAR BHI IMAAN RAKHA JAAYE,

ISKE BEGAIR KOI BHI MOMIN MUSALMAAN NAHI HO SAKTA !!

TAWHEED KYA HAI???







BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM



TAWHEED KYA HAI???



TAWHEED KA KI SIFAT(IMPORTANCE) KO SAMJHNE SE PAHLE ,TAWHEED KA JANNA JAROORI HAI:

TAWHEED KA MATLAB HAI:"ALLAH KO RUBUWIYAT AUR ULUHIYYAT ME AKELA SAMJHA JAAYE AUR POOJA PAATH(IBADAT) ME USKE SAATH KISI KO BHI SHAREEQ NA KIYA JAAYE,

INSAANI JEEVAN(LIFE) ME ISI PAHLU ZYADA ZOR DIYA GAYA HAI,

INSAANI JEEVAN KA IS DUNIYA ME JO MATLAB ALLAH NE BATAYA HAI WAH YE HAI KI " INSAANO AUR ZINNO KO MAINE APNI IBADAT KE LIYE PAIDA KIYA HAI", ISKA MATLAB YE HAI KI SIRF USKI HI IBADAT KI JAAYE,


IS SAARE DUNIYA, INSAANO AUR JINNO KE PAIDA KARNE KA MAQSAD SIRF ALLAH KE EK HONE KA AITRAAF KARAANA HAI,

JAISA KI RIWAYATON ME AATA HAI KI ALLAH NE HZ ADAM(AS) KO PAIDA KARNE KE BAAD UNKI PEETH SE SAARE INSANO KO NIKAALA AUR UNSE APNI RUBUWIYYA KA IQRAR KARAYA JAISE ALLAH KA IRSHAD HAI " AUR JAB TUMHARE RABB NE AADAM KE PEETH SE UNKI AULAAD KO NIKAALA AUR UNKO GAWAAH BANAYA UNKE UPER KYON MAIN TUMHARA RAB NAHI HOON?

UNLOGON NE KAHA "KYON NAHI"

AL-ARAAF 172

ISI TARAH RASOOLLULLAH SALLALLAHO ALLAIHI WASALLAM NE LOGON KO ISLAM KI TARAF BULANA SHURU KIYA TO MAKKA KE LOG AAPKE DUSHMAN BAN GAYE TO AAPNE UNSE KAHA KI "TUM SIRF EK BAAT MAAN LO, SAARE ARAB WA AZM KE MAALIK HO JAOGE, UNHONE PUCHA WO KYA HAI,

AAPNE KAHA KI "LA ILLAHA ILLALLAH" KO MAAN LO,

"LA ILAAHA ILLALLAH KYA HAI?

TAWHEED KA SABSE ACCHA PAATH(SABAK) HAI JAISA KI HADITH ME AATA HAI KI JISNE "LA ILAHA ILLALLAH PADH LIYA WAH JANNAT ME DAAKHIL HO GAYA"


ISI TARAH SE NEKI KE MUQABLE ME BURE KAAM AUR SUNNAT KE MUQABLE ME BIDAT SE UNKE MAHATW(IMPORTANCE) KA ANDAAZA LAGAYA JAATA HAI, THEEK USI TARAH TAWHEED KE MUQABLE ME SHIRK SE TAWHEED KE MAHATW HONE KA ANDAAZA LAGAYA JA SAKTA HAI,

ALLAH NE SHIRK KI MUZAMMAT BAYAN KARTE HUE IRSHAAD FARMAYA "BESHAQ ALLAH NAHI MAAF KAREGA,USKE ELAWA JISKO CHAHEGA"

ISKA MATLAB HAI KI, INSAN NE APNI ZINDAGI ME JITNE GUNAH KIYE HON, AGARCHE WO TAWHEED KO MAANTA HO ALLAH TAALA JAB CHAHE USE MAAF KAR SAKTA HAI,

RASOOLLULLAH SALLALLAHO ALLAIHI WASALLAM NE IRSHAD FARMAYA HAI KI "JISNE SACCHE DIL SE TAWHEED KO MAANA AUR USKE QUBOOL KIYA, WAH BESHAK JANNAT ME JAYEGA"

ISI TARAH EK IMARAT GIR JAATI HAI, USI TARAH AGAR INSAAN KE DIL ME TAWHEED KA IKRAAR NA HO TO USKA POORA DEEN AUR AMAL BARBAAD HO JAATA HAI,


NIZAAM-E-DEEN ME TAWHEED KI WAHI HAISIYAT HAI, JO INSAN KE JISM ME DIL KI HAI,

AGAR DIL ACCHA HAI TO SAARA JISM ACCHA RAHTA HAI, AGAR DIL ME KHARABI HAI TO POORA JISM KHARAAB HO JAATA HAI,

YAHI WAJAH HAI KI INSAAN KA KOI BHI AMAL TAWHEED KE BINA SAHI NAHI HO SAKTA,

TAWHEED KI MAHTW(IMPORTANCE) KA ANDAAZA IS BAAT SE HOTA HAI KI QUR'AN KE 3 PART HAIN

1-TAWHEED

2-KISAS(NABIYON KE QISSE)

3-AHKAAM

ISKA MATLAB HAI KI DEEN WA SHARIAT KI BUNIYAAD 3 CHEEZON PAR QAYAM HAIN,

ISLIYE HUM DEKHTE HAIN KI SURAH IKHLAAS KO TIHAAI(ONE-THIRD) QUR'AN KAHA GAYA HAI,

ISKA SIRF YAHI MAQSAD HAI KI SURAH IKHLAAS POORI TAWHEED KE BAARE ME UTRI HAI,


RISAALAT(NABIYON KO IS DUNIYA ME BHEJA JAANA) TAWHEED KA EK PART HAI,

KYONKI ALLAH HI KO SHARIAT BANAANE AUR KANOON BANANE WAALA TAWHEED KE PARTS ME SE HAI

RASOOLON KA PAHLI DAWAT LOGON KO TAWHEED-E-KHALIS KI TARAF BULAANA THA,

USKE BAAT DUSRI DAWATEIN BHI,

YAHI WAJAH HAI KI JAB MAKKAH KE MUSALMAANO KE TADAAT ME IZAAFA HONE LAGA TO UNHONE 360 JHUTHE KHUDAON KO CHHOD KAR TAWHEED KO APNA LIYA TO MAKKAH KE KAAFIRON NE UNHE TAKLEEF DENA SHURU KAR DIYA,
YAHA TAK KI MUSALMAANO KO USKI KEEMAT APNA GHAR BAAR , BIWI BACCHE, JAAN WA MAAL SABKO GAWA KAR ADA KARNI PADI AUR WO IS TAWHEED KO BAAKI RAKHNE AUR USKO PHAILANE KE LIYE MAKKAH SE HIJRAT KARKE MADINA CHALE GAYE,

LEKIN KUFFAR-E-MAKKAH TO UNKA NAAM YAANI KI TAWHEED KO JAD SE KHATM KARNA CHAHTE THEY ISI LIYE UNHONE MUSALMANO
PAR HAMLA KAR DIYA,

LEKIN TAWHEED KI BAQA WA HIFAZAT KE LIYE MUSALMAANO NE BHI APNE BHAI WA BAAP KE KHILAAF TALWAREN CHALA DI,

HZ BILAL(RA) KO ISLIYE TAKLEEFEIN DI JAA RAHIN THI WA EK ALLAH KO CHHODKAR JHUTE KHUDA KO MAAN LEIN,

LEKIN ARAB KE TAPTE HUE PATTHARON PAR HZ BILAAL(RA) NE TAWHEED KI ASLI LAZZAT PAA LI AUR WAH APNE ALLAH KE PYAAR ME DOOBKAR UN JHUTE MABOODON KI IBADAT KARNE WAALON KO JHINJOD KAR RAKH DIYA,

TAWHEED KA IKRAAR YAANI ALLAH KE ADHIKAAR KA IKRAAR YAH INSAAF KI BUNIYAAD HAI, JO INSAAN IS HUKOOK KO NAHI PAHCHAAN SAKTA USSE IS TARAH KI NA INSAAFI AUR NAFARMANIYAN WAJOOD ME AYENGI JAISA KI AAJ KE ZAALIM AUR NASHUKR GUZAAR INSAANO SE WAJOOD ME AA RAHI HAIN


TAWHEED EK AISA FAREEZA AUR JISKA ADA KARNA BAHUT HI ZAROORI HAI AUR USKI ADAYEGI ME JO CHEEZ RUKAWAT BANE WO RAASTE KA PATTHAR HAI,

JIS TARAH MANZIL TAK PAHUNCNE KE LIYE RAASTE KE PATTHARON KO THOKAR MAAR DI JAATI HAI USI TARAH


USI TARAH TAWHEED KE HUQOOQ KO ADA KARNE KE LIYE HAR RUKAWAT KO THOKAR MAARNI HOGI, CHAHE WO KISI BHI MUSHKIL ME HO, TAWHEED KI HAKEEKAT AUR USKI AHMIYAT KHUL KAR SAAMNE AA JAANE KE BAAD YAH BAAT EK DAM SAAF HO GAYI HAI KI TAWHEED DEEN KA NA SIRF HISSA HAI BALKI YE SAARE DEEN KI MUHEET HAI AUR ISLAM KI BUNIYAAD HAI,

ALLAH HAME SAMJHNE KI TAUFIQ DE

RASOOLON KI PAHLI DAWAT: TAWHEED E WAHYAT WA IBAADAT KI TAALEEM





Bismillahirrahmanirraheem



RASOOLON KI PAHLI DAWAT: TAWHEED E WAHYAT WA IBAADAT KI TAALEEM



Mere azeez bhaiyyon aur bahno ! Allah Aap par raham farmaaye...

Ye baat acchi tarah se samjhlen ke allah taala ko har qism ki ibaadat ke liye tanha tasleem karne ka naam " tawheed" hai, aur yahi un tamaam rasoolon ka deen hai jinhe allah ne us daawat ke liye apne bandon ki taraf bheja,

unme pahle rasool hz nooh (as) hain, jinhe allah ne us waqt maaboos farmaaya jab unki qaum wadh, suwa, yagoos, ya'ooq aur nasr jaise saaliheen ke ahteraam wa aqeedat me ghulu ka shikaar ho gayi

(note: tareekh gawaah hai ke un logon ne saaliheen ki qabron par sazde, qadron ka tawaaf, ahlul qabr se muraaden maangna aur shaitaan ki chaalon par amal karna shuru kar diya tha..)


aur aakhiri rasool hazrat muhammad sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne un saaliheen ke buton(idols) ko todha(destroyed),

aap sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko allah ne aise logon ka rasool banaaya jo ibaadat karte they, hajj karte, sadqah wa khairaat karte aur allah ka bahut zikr kiya karte they, lekin makhlooqaat ilaahiya mese baaz ko maslan fariston, hz isa bin maryam (as) aur deegar nek logon ko wah apne aur allah ke darmiyaan waseela muqarrar kar lete aur kahte they ke ham unke zariye taqarrub e ilaahi chaahte hain, aur allah ke yahan unke shifaarish ke baa'is hain,

tab allah taala ne hazrat muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ko maboos farmaya taake aap muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) un logon ke liye unke jadde amjad hz ibraaheem (as) ke deen ki tajdeed karen aur unko khabardaar karen ke ye taqarrub aur aqeedat toh sirf aur sirf allah ka haq hai,

ye kisi muqarrab farishte ke liye nahi aur na kisi barguzeedah nabi ke liye hai,


ye pahle ke mushrikeen bhi maante they ke allah taala hi qaaynaat ka khaliq wa maalik hai, uske siwa Koi raaziq nahi, uske elaawah koi paida karne waala nahi aur na hi koi maarne waala hai, uske siwa koi kaarsaaz nahi aur sab uske ghulaam aur uske qabzah kudrat me hai



MUSHRIKEEN KA IQRAAR E TAWHEED-E-RUBUWIYYAH:


Agar aapko uska suboot darkaar ho ke jin mushrikeen ke saath nabi e kareem hazrat muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne qitaal wa jihaad kiya wah TAWHEED E RUBUWIYYAH ke qaayel they, toh allah taala ke is irshaad e mubaarak par ghaur farmaayen


" unse puchhen ke aasmaan se paida karke rizq kaun deta hai ?, sunwaayi aur beenaayi kis ki milkiyat hai ? Adam se hasti aur hasti se adam me kaun laata hai ?(yani maut aur hayaat kaun deta hai?), aur kaarsaaz kaun hai ? Toh wah sab yahi kahenge ke ALLAH hai, unse kahen ! Kya tum usse nahi darte ?"


(surah younus 31)


aur allah ne farmaya:

" unse poochen ke ye zameen aur jo kuch usme hai kiske hain ?, agar aap jaante hai (toh bataao), wah Kahenge allah ke, unhen kahen ! Toh kya tum nasihat haasil nahi karte ?,

unse pooche(yani mushrikeen se) ke in saaton aasmaano aur arsh azeem ka rabb kaun hai ? Wah kahenge ! Allah hai, toh unse kahen , kya tum allah se nahi darte ?

Unse pooche ke har cheez ki baadshaahi kiske haath me hai ?, jo panaah deta hai, magar uske muqaabil koi panaah nahi de sakta ? Agar tum jaante ho toh bataao ? Wah kahenge, ke sab kuch allah hi ka hai, unhe kahiye ke phir tum par jaadu kahan se padh jaata hai "

(surah mominun 84-89)


jab ye baat tahqeeq ko pahunch gayi ke mushrikeen tawheed e rubuwiyyah ka iqraar karte they, magar un ka iqraar e rubuwiyyah unhen is tawheed me daakhil na kar saka jiski dawat hazrat muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne di,

aur aapko ye bhi malum hoga ke tawheed jiska unhone inkaar kiya "TAWHEED E IBAADAT" thi,

jise hamare zamaane ke mushrikeen " AQEEDAT" ka naam dete hain,

goya Wah buzurgon ko din wa raat pukaarte they magar unme se baaz log farishton ko unki salaahiyat wa saalihiyat , aur muqarrabeen e ilahi hone ki wajah se pukaarte they, taake wah unki shafaat wa shifaarish karen, ya kisi nek aadmi jaise 'laat', ya kisi nahi jaise ' hz isa (as)' ko pukaarte they,

aur aap ye baat bhi samjh gaye ke hazrat muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne unke saath usi shirk ki wajah se jihaad kiya aur unhen allah ki mukhlisaana ibaadat ki daawat di,

jaisa allah taala ka irshaad hai:

" aur beshaq masaajid allah ke liye hain, lihaaza allah ke saath kisi dusre ko mat pukaaro "

(surah hajj 18)

aur farmaya


" haqiqi dawat wa pukaar usi ke liye hai aur jinko ye log pukaarte hain wah unhen koi jawaab nahi dete"

(surah raad 14)


is tarah ye baat bhi waazeh ho gayi ke nabi akram (sws) ne unke saath jihaad kiya, taake dua wa pukaar, nazr o niyaaz, zibaah wa qurbaani, sirf allah hi Ke liye khaalis ho jaaye..



Aur jab aapko is baat ka ilm bhi ho gaya ke unke sirf tawheed e rubuwiyyah ke iqraar ne unhe islam me daakhil na kiya aur bila shubah malaika, ambiya, wa awliya ki shafaat aur taqarrub ilaahi ki khaatir unki taraf qasad karna hi wah gunaah tha ke jisne unke jaan wa maal (ba'taur e ghanimat musalmaano ke liye) halaal kar diye, tab aapko us tawheed ka ilm ho gaya jiski taraf rasoolon (as) ne daawat di aur jiske maanne se mushkireen ne inkaar kar diya....


Allah ham sabko samjhne ki taufeeq de.... Ameen